Aankhen bheeg jati hain

Samandar main utarta hoon tou aankhain bheeg jati hain
teri aankhoun ko parhta hoon to aankhain bheeg jati hain

tumhaara naam likhney ki ijaazat chin gayi jub say
koi bhi lafz likhta hoon to aankhain bheeg jati hain

teri yaadoun ki khushboo khirkiyoun main raqs karti hay
teray gham main sulagta hoon to aankhain bheeg jati hain

main huns k jhail laita hoon judaayi ki sub hee rasmain
galey jub us k lagta hoon to aankhain bheeg jati hain

najaaney hogaya hoon isqadar hassaas main kub say
kisi say baat karta hoon to aankhain bheeg jati hain

woh sub guzrey huay lamhaat mujh ko yaad aatey hain
tumhaarey khut jo parhta hoon to aankhain bheeg jati hain

main saara din bohat masroof rehta hoon magar joonhi
qadam chaukhat pe rakhta hoon to aankhain bheeg jati hain

hur ik muflis k maathey par alam ki daastaanain hain
koi chehra bhi parhta hoon to aankhain bheeg jaati hain

barey logoun k oonchey budnuma or sard mehloun ko
ghareeb aankhoun say takta hoon to aankhain bheeg jati hain

teray koochey say ab mera talluq waajibi sa hay
magar jub bhi guzarta hoon to aankhain bheeg jati hain

hazaroun mausamoun ki hukmraani hay meray dil par
Wasi main jub bhi hunsta hoon to aankhain bheeg jati hain
"Wasi shah Poetry"
wasi shah-Urdu Poetry-Urdu Shayri-Urdu Ghazal-Urdu Poem
Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

Comments

Popular posts from this blog

Wo Aksar Mujhse Kehti Thi