Gham-naak samandar mein kinare na bichartey

Gham-naak samandar mein kinare na bichartey
Tum bichrey they yadon k saharey na bichartey

Mein teri judai ka sitam jhel hi leta
Uss raat agar chand sitare na bichartey

Ik dujey se kuch dard ki taqseem to rehti
Jeewan mein agar dard k marey na bichartey

Har rang mein hai ilat-o-malol zaroori
Aankhen na bicharti to nazarey na bichartey

Is tor se yadon ki bhi surat nikal aati
Hum bhool gaye hote jo pyaarey na bichartey
"Farhat abbas shah"
farhat abbas shah urdu poetry
Farhat abbas shah Urdu Poetry

Comments

Popular posts from this blog

Wo Aksar Mujhse Kehti Thi