Ashk bahane k liye aaye they

Dasht ki pyaas bhaRhane k liye aaye they
abar bhi aag lagane k liye aaye they

aise lagta hai k hum hi se koi bhool hui
tum kisi aur zamane k liye aaye they

moj aur moje hawa aab aur aabe rawan qose qazah
tarey aankhon mein nahaney  ke  liye  aaye  they

apne matlab k siwa log kahan milte hain
ab k bhi saanp khazane k liye aaye they

apni pathrayi hoi aankhon ko jhapkein kaise
jo tera aqs churaney ke liye aaye they

log kehtey hi rahe saad batao kuchh to
hum k bus ashk bahane k liye aaye they
"Saadullah Shah urdu poetry"
Saadullah Shah poetry in urdu
Saadullah Shah poetry

Comments

Popular posts from this blog

Wo Aksar Mujhse Kehti Thi