Manzar samait laye hain jo
Qateel shifai |
Manzar samait laye hain jo
Manzar samait laye hain jo tere gaoun ke
neendain chura rahe hain wo jhonke hawaoun k
teri gali se chaand zyaada haseen nahi
kehte sune gaye hain musafir khalaoun k
pal bhar ko teri yaad mein dharka tha dil mera
ab door tak bhanwar se parey hain sadaoun k
Daad-e-Safar mili hai kisay raah-e-shauq main
ham nay miTa diye hain nishaan apnay paoun ke
jab tak na koi aas thi, yeh pyas bhi na thi
be-chain kar gaye hamain sayae ghataoun ke
ham ne liya hai jab bhi kisi raahzan ka naam
chehray utar utar gaye kuch rehnumaoun ke
uglay ga aaftaab kuch aisi bala ki dhoop
reh jayen ge zameen pe kuch dagh chaoun k
'Qateel shifai shayari'

Comments
Post a Comment