thakan to agle safar k liye bahana tha

urdu poetry by iftikhar arif, urdu shayari
urdu poetry iftikhar arif
thakan to agle safar k liye bahana tha
usse to yun bhi 'kisi aur simt jana tha'

wahi chirag bujha jis ki lau qayamat thi
ussi pe zarb pari jo shajar purana tha

mata-e-jan ka badal ek pal ki sarshari
suluk khwab ka ankhon se tazirana tha

wahi firaq ki baten wahi hikayat-e-wasl
nai kitab ka ek ek warq purana tha

qaba-e-zard nigar-e-khizan pe sajti thi
tabhi to chal ka andaz khusrowana tha
'Iftikhar arif shayari'

Comments

Popular posts from this blog

Wo Aksar Mujhse Kehti Thi