Teri nazar ke isharon se khel sakta hun
Saghar Siddiqui |
Teri nazar ke isharon se
Teri nazar ke isharon se khel sakta hun
jigar farosh shararon se khel sakta hun
tumhare daaman-e-rangeen ka aasra le kar
chaman ke mast nazaron se khel sakta hun
kisi ke ehd-e-mohabbat ki yaad baqi hai
baDe haseen sahaaron se khel sakta hun
maqam-e-hosh-o-khirad intiqame vehshat hai
junoon ki raah guzaron se khel sakta hun
mujhe khizan ke bagole salam karte hain
hayya farosh chanaron se khel sakta hun
sharab-o-sher k darya mein doob kar saghar
suroor-o-kef ke dhaaron se khel sakta hun
'Saghar Siddiqui poetry'

Comments
Post a Comment