Ab Aisi Mohabbat Kya Karni
Aansoo poetry Ab Aisi Mohabbat Kya Karni Kehne Ko Mohabbat Hai Lekin Ab Aisi Mohabbat Kya Karni Jo Neend Chura Le Aankhon Se Jo Khawab Dekha Kar Palkon K Tabeer Mein Kante De Jaye Jo Gham Ki Kali Raton Se Har Aas Ka Jugno Le Jaye Jo Khawab Sajati Aankhon Ko Aanso Hi Aansoo De Jaye Jo Mushkil Kar De Jeene Ko Jo Marne Ko Aasan Kare Wo Dil Jo Pyar Ka Mandar Ho Wo Yadon Ko Mehman Kare Ab Aisi Mohabbat Kia Karni? Jo Umar Ki Naqdi Le Jaye Aur Phir Bhi Jholi Khali Ho Wo Sorat Dil Ka Rog Bane Jo Sorat Dekhi Bhaali Ho Jo Qais Bana De Insan Ko, Jo Ranjha Aur Farhad Kare, Ab Aisi Mohabbat Kia Karni? Jo Khushion Ko Barbad Kare Dekho To Mohabbat K Bare Mein Har Shakhs Yehi Kuch Kehta Hai Socho To Mohabbat K Andar Ek Dard Hamesha Rehta Hai Phir Bhi Jo Cheez Mohabbat Hai Kab In Baton Se Darti Hai? Kab In K Bandhe Rukti Hai? Ab Aisi Mohabbat Kia Karni......! 'Aansoo shayari'