Manzar samait laye hain jo
Qateel shifai Manzar samait laye hain jo Manzar samait laye hain jo tere gaoun ke neendain chura rahe hain wo jhonke hawaoun k teri gali se chaand zyaada haseen nahi kehte sune gaye hain musafir khalaoun k pal bhar ko teri yaad mein dharka tha dil mera ab door tak bhanwar se parey hain sadaoun k Daad-e-Safar mili hai kisay raah-e-shauq main ham nay miTa diye hain nishaan apnay paoun ke jab tak na koi aas thi, yeh pyas bhi na thi be-chain kar gaye hamain sayae ghataoun ke ham ne liya hai jab bhi kisi raahzan ka naam chehray utar utar gaye kuch rehnumaoun ke uglay ga aaftaab kuch aisi bala ki dhoop reh jayen ge zameen pe kuch dagh chaoun k 'Qateel shifai shayari'