Hoti Hai Tere Naam Se Wehshat Kabhi Kabhi
Hoti hai tere naam se wehshat kabhi kabhi' barham hui hai yu'n bhi, tabiyat kabhi kabhi ey dil kise naseeb ye taufeeq-e-iztiraab milti hai zindagi main ye rahat kabhi kabhi tere karam se ae alam-e-husan-e-afree'n dil ban gaya hai dost ki khilwat kabhi kabhi josh-e-junoo'n mein dard ki tugyanio'n ke saath ashko'n mein dhul gai teri surat kabhi kabhi tere qareeb reh ke bhi dil mutmain na tha guzri hai mujhe pe ye bhi qayamat kabhi kabhi kuchh apna hosh tha na kuchh tumhara khayal tha yoo'n bhi guzar gai shab-e-furqat kabhi kabhi ae dost humne tark-e-mohabbat ke bawajood mehsoos ki hai teri zaroorat kabhi kabhi "Nasir kazmi poetry" Nasir kazmi poetry in urdu