Posts

Showing posts from January, 2012

Mujh se juda ho jana

Image
Beniyaaz-e-gham-e-paimaan-e-wafa ho jana tum bhi auron ki tarah mujh se juda ho jana mein bhi palko'n pe sajao'n ga lahoo ki boonden tum bhi pabastaye zanjeer-e-hina ho jana garchay ab qurb ka imkaa'n hai bohat kam phir bhi kahie'n mil jayen to tasweer numa ho jana sirf manzil ki talab ho to kaha'n mumkin hai doosro'n ke liye khud aabla pa ho jana khalq ki sang zani meri wafao'n ka sila tum to massom ho tum door zara ho jana ab mere wastay taryaq hai alhaad ka zeher tum kisi aur pujari ke khuda ho jana 'Ahmad Faraz Poetry' Ahmed faraz urdu poetry

Suna Hai Log Usay Aankh Bhar Ke Dekhte Hain

Image
Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain' So us ke shahar main kuchh din thehr ke dekhte hain Suna hai rabt hai us ko kharab halon se So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain Suna hai dard ki gahak hain chashm-e nazuk us ki So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf So ham bhi mojazay apnay hunar ke dekhte hain Suna hai bole to baton se phool jharrtay hain Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain Suna hai raat use chand takta rehta hai Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhain Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain Suna hai din ko usay titliyan satati hain Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhte hain Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai So us ko surma farosh aankh bhar ke dekhte hain Suna hai us ke labon se gulab jalate hain So ham bahar par ilz...

Mein khud ko bhool gaya

Image
Phira hu'n sare zamane mein dar badar kesa mein tere bad bhi zindah raha, mager kesa wo janta tha ke kuch roz wo nahi tha to mein pukarta raha usko idhar udhar kesa, na aetabaar na aasoodgi na qurb tera, faqat takaluf-e-deewar-o-dar hai ghar kesa mein jis ke hijar mein roya hu'n pagalo'n ki tarah wo kal mila to hansa mere haal par kesa azeez tar thi jisay neend shaam-e-wasal mein bhi wo tere hijar mein jaga hai umar bhar kesa bus ek shakhs ki khatir bus ek dil ke liye watan ko taj dia deewangi mein har kesa kahan ki dosti kesa firaq kon "faraz" mein khud ko bhool gaya tujh ko bhool kar kesa "ahmad faraz best poetry" Ahmad faraz shayari

Phir Aaj Dukh Bhi Ziyada Hai

Image
Na tera qurb na bada hai kya kiya jaye' phir Aaj Dukh Bhi Ziyada Hai, Kya Kiya jaye jaye humen bhi arze tamana ka dhab nahi aata mizaje yaar bhi sada hai kya kiya jaye kuch apne dost bhi tarkash badosh phirte hain kuch apna dil bhi kushada hai kya kiya jaye wo meherba'n hai magar dil ki hiras bhi kam ho talab karam se ziaada hai kya kiya jaye na us se tark-e-taaluq ki baat kar payen na hamdami ka irada hai kya kiya jaye salook-e-yaar se dil tootne laga hai faraz magar ye mehfil-e-aada hai kya kiya jaye "Ahmed Faraz udu Poetry" faraz urdu poetry

Raatain Hain Udaas din karay hain

Image
Raatain hain udaas din karay hain ay dil tere hoslay baray hain' ay yaad -e- habib sath daina kuch marhallay sakht aa paray hain rukna ho agar to so bahane jana ho to rastay baray hai ab kese bataen wajeh-gaya jab aap bhi saath ro paren hain ab jane kaha'n naseeb le jaye ghar se to faraz chal paray hain "Ahmed Faraz shayari" urdu poetry by ahmad faraz

Tanhai mein ro len ge

Image
Kuch na kisi se bolen ge tanhai mein ro len ge' hum be raah ravon ka kya saath kissi ke ho len ge khud to hue ruswa lekin bhed tere na kholen ge jeewan zeher bhara saagar kab tak amrat gholen ge hijar ki shab sone wale hashar ko aankhen kholen ge phir koi aandhi uthay gi panchhi jab par tolen ge neend to kya ayegi faraz mot ayi to so len ge "ahmed faraz sad poetry" poetry by ahmed faraz

Chup chap apni aag mein jalte raho

Image
Kia aese kam sukhan say koi guftgoo kare jo mustaqil sukoot say, dil ko lahoo kare ab to humen bhi tark-e- marasim ka dukh nahi par dil ye chahta hai ke agaaz tu kare tere bager bhi to ganeemat hai zindagi khud ko ganwa ke kon teri justajoo kare ab to ye aarzoo hai ke wo zakham khaiey ta zindagi ye dil na koi aarzoo kare tujh ko bhula ke dil hai wo sharmindae nazar ab koi haadsa hi tere ru baroo kare chup chap apni aag mein jalte raho faraz dunya to arz-e-haal se be aabroo kare "ahmed faraz urdu poetry" faraz urdu shayai

mein zakham zakham hoon

Image
Karoon na yaad magar kis tarah bhulaon usey ghazal baha na karoon, aur gungunaon usey wo khar khar hai, shakh-e-gulab ki manind mein zakham zakham hoon phir bhi gallay lago'n usey ye log tazkare karte hain apne logo'n ke mein kese baat karu'n ab kahan se lao'n usey magar wo zood-e-faramosh zood-e-ranj bhi hai ke rooth jaye agar yaad kuchh dilao'n usey o humsafar sar-e-manzil bichar raha hai faraz ajab nahi hai agar yaad bhi na aao'n usey "ahmad faraz poetry in urdu"                                     Ahmad faraz urdu shayari

Ab k Bichhar k usko

Image
Jo bhi droon-e-dil hai who bahir na aaye ga ab aagahi ka zeher, zuban par na aaye ga ab k Bichhar k usko nidamat hai isqadar ji chahta bhi ho to, palat kar na aaye ga yoo'n phir raha hai kanch ka pekar liye hue zalim ko ye gumaa'n hai ke pathar na aaye ga phir bo raha hai aaj unhe'n sahilo'n pe phool phir jese moj mein ye samadar na aaye ga mein jaa'n be lab hu'n tark-e-taaluq ke khof se wo mutmayin me harf to us par na aaye ga "ahmed faraz sad poetry" Ahmad faraz Urdu Poetr

Uski Nawazishon Ne To Heran Kar Diya

Image
Uski nawazishon ne to heran kar diya mein maizban tha, mujhe mehman kar diya ik no-bahare-naz keh halke say lams ne mere to sare jism ko, guldan kar diya kal ik  nigar-e-sheher ne ba lutf-e-khaas mujh se faqeer ko bhi sulemaan kar diya jeenay se isqadar bhi lagao na tha mujhe tu ne to zindagi ko meri jaan kar diya qurbat ke pal wo itna sakhi tha ke usne to poora tamaam umar ka nuqsan kar diya na aashnaye lutf-e-tasaadam ko kia khabar mein ne hawa ki zad pe rakha jaan kar diya itne sukoo'n ke din kabhi dekhe na thay faraz aasoodgi ne mujh ko pareshaan kar diya "ahmad faraz poetry" Urdu poetry by ahmed faraz

Aankhon mein bas gaya phir tu

Image
Hui hai shaam to aankhon mein bas gaya phir tu kahaan gayaa hai, mere sheher ke musaafir tu meri misaal ke ik nakhl-e-khushk sehra hoo'n tera khayaal ke shakh-e-chaman ka tahir tu mein janta hu'n ke dunya tujhe badal de gi mein manta hu'n ke aesa nahi bazahir tu hansi khushi se bichar ja agar bicharna hai ye har maqaam pe kya sochta hai aakhir tu faza udaas hai dil muzmahal hai mein chup hu'n jo ho sake to chala aa kisi ki khatir tu faraz tu ne usse mushkilo'n mein daal dia zamana sahib-e-zar aur sirf shaa'ir "Ahmed faraz shayari" Ahmad Faraz Urdu Poetry

Dukh Fasana Nahi Ke

Image
Dukh fasana nahi ke tujh se kahen' dil bhi mana nahi, k tujh se kahen' aaj tak apni bekali ka sabab' khud bhi jana nahi k tujh se kahen' be tarah haal-e-dil hai aur tujh se' dostaana nahi ke tujh se kahen' ek tu harf-e-aashna tha magar' ab zamana nahi ke tujh se kahen' qaasid hum faqeer logo'n ka' ik thikaana nahi ke tujh se kahen' ae khuda dard-e-dil hai bakhshish-e-dost' Aab-o-dana nahi k tujh se kahen' "Ahmed faraz urdu poetry" Ahmad faraz urdu poetry

Badan Mein Lagi Hai Aag

Image
Do ghoont kia piyey ke 'badan mein lagi hai aag' saqi sharab hai ke, sabo mein bhari hai Aag taqdeer hans rahi hai ke, mein sokhta naseeb jangal mein a gayya hu'n jo ghar mein lagi hai aag jo dhoondte thay aag unhen peghambari mili >hum ko payyambari ki talab thi mili hai aag ab baag-o-bagbaa'n se koi kya gilla kare ab ke to range gul se chaman mein lagi hai aag jaana'n hum aehl-e-dil ki tar chashmagi na dekh daama'n ko door kar ke dilo'n mein lagi hai aag mehfil ko kya khabar jo humare dilo'n mein hai kab shamma sa'n humare saro'n par dhari hai aag aatish bajja'n hain kab se mohabbat mein hum faraz ik baar jab lagi hai to phir kab bhuji hai aag "ahmad faraz shayari in urdu" Urdu poetry by ahmed faraz

Ik shakhs dilruba sa

Image
Barson ke baad dekha 'Ik shakhs dilruba sa' ab zehen mein nahi hai par naam tha bhala sa abru khichey khichey se aankhen jhuki jhuki si baaten ruki ruki si leja thaka thaka sa alfaz they ke jugnoo awaz ke safar mein ban jaye jangalo'n mein jis tarah raasta sa khwabon mein khwab uske yaadon mein yaad uski neendon mein ghul gaya ho jese ke ratjaga sa pehley bhi log aaye kitne hi zindagi mein wo har tarah se lekin auron se tha juda sa agli mohabbaton ne wo namuradian die,n taaza rafaqaton se dil tha dara dara sa "ahmed faraz poetry" Ahmad faraz urdu shayari

kisi se marasim barhane lagte hain

Image
Agar kisi se marasim barhane lagte hain' Tere firaq ke dukh, yaad aanay lagte hain Humen sitam ka gila kia ke ye jahan wale Kabhi kabhi tera dil bhi dhukhane lagte hain safeene chor ke sahil chale to hain lekin ye dekhna hai ke ab kis thikane lagte hain palak jhapakte hi dunya ujaar deti hai wo bastiyaa'n jinhen baste zamane lagte hain "faraz" milte hain gham bhi naseeb walon ko har ik haath kahan ye khazaane lagte hain "ahmed faraz sad poetry" Faraz urdu shayari