Posts

Ab Aisi Mohabbat Kya Karni

Image
Aansoo poetry Ab Aisi Mohabbat Kya Karni Kehne Ko Mohabbat Hai Lekin Ab Aisi Mohabbat Kya Karni Jo Neend Chura Le Aankhon Se Jo Khawab Dekha Kar Palkon K Tabeer Mein Kante De Jaye Jo Gham Ki Kali Raton Se Har Aas Ka Jugno Le Jaye Jo Khawab Sajati Aankhon Ko Aanso Hi Aansoo De Jaye Jo Mushkil Kar De Jeene Ko Jo Marne Ko Aasan Kare Wo Dil Jo Pyar Ka Mandar Ho Wo Yadon Ko Mehman Kare Ab Aisi Mohabbat Kia Karni? Jo Umar Ki Naqdi Le Jaye Aur Phir Bhi Jholi Khali Ho Wo Sorat Dil Ka Rog Bane Jo Sorat Dekhi Bhaali Ho Jo Qais Bana De Insan Ko, Jo Ranjha Aur Farhad Kare, Ab Aisi Mohabbat Kia Karni? Jo Khushion Ko Barbad Kare Dekho To Mohabbat K Bare Mein Har Shakhs Yehi Kuch Kehta Hai Socho To Mohabbat K Andar Ek Dard Hamesha Rehta Hai Phir Bhi Jo Cheez Mohabbat Hai Kab In Baton Se Darti Hai? Kab In K Bandhe Rukti Hai? Ab Aisi Mohabbat Kia Karni......! 'Aansoo shayari'

bas tumhare liye

Image
wasi shah poem pics bas tumhare liye Chandni gungunane lagi kis liye taare aangan mein aane lage kis liye kis liye rang mehandi ka khilne laga phool hum ko satane lage kis liye bas tumhare liye bas tumhare liye wasi shah urdu poetry poetrygold has lots of Famous urdu poet wasi shah urdu poetry, shayari, ghazals, poems and nazams...

Dil mera ek kitab ki surat

Image
Dil mera ek kitab ki surat Dil mera ek kitab ki surat jis mein wo gulab ki surat mein kaRi dhoop ki tanhai wo shab-e-mahtab ki surat 4line poetry 4line poetry

Teri nazar ke isharon se khel sakta hun

Image
Saghar Siddiqui Teri nazar ke isharon se Teri nazar ke isharon se khel sakta hun jigar farosh shararon se khel sakta hun tumhare daaman-e-rangeen ka aasra le kar chaman ke mast nazaron se khel sakta hun kisi ke ehd-e-mohabbat ki yaad baqi hai baDe haseen sahaaron se  khel sakta hun maqam-e-hosh-o-khirad intiqame vehshat hai junoon ki raah guzaron se khel sakta hun mujhe khizan ke bagole salam karte hain hayya farosh chanaron se khel sakta hun sharab-o-sher k darya mein doob kar saghar suroor-o-kef ke dhaaron se khel sakta hun 'Saghar Siddiqui poetry'

Piyar bhi ajab shey hai

Image
Farhat abbas shah Piyar bhi ajab shey hai Piyar bhi ajab shey hai aztarar mein muzamir inthashar se Aage ikhtiyar se bahir..! poem in urdu

Manzar samait laye hain jo

Image
Qateel shifai Manzar samait laye hain jo Manzar samait laye hain jo tere gaoun ke neendain chura rahe hain wo jhonke hawaoun k teri gali se chaand zyaada haseen nahi kehte sune gaye hain musafir khalaoun k pal bhar ko teri yaad mein dharka tha dil mera ab door tak bhanwar se parey hain sadaoun k Daad-e-Safar mili hai kisay raah-e-shauq main ham nay miTa diye hain nishaan apnay paoun ke jab tak na koi aas thi, yeh pyas bhi na thi be-chain kar gaye hamain sayae ghataoun ke ham ne liya hai jab bhi kisi raahzan ka naam chehray utar utar gaye kuch rehnumaoun ke uglay ga aaftaab kuch aisi bala ki dhoop reh jayen ge zameen pe kuch dagh chaoun k 'Qateel shifai shayari'

Aaj bhi waisa hi mausam hai

Image
Mausam shayari Aaj bhi waisa hi mausam hai Aaj bhi waisa hi mausam hai Aaj bhi waisey hi badal hain Aaj bhi waisi hi barish hai Jab hum pehli bar mile they Yaad hai, humne ye socha tha Humko milte dekh kar mausam Itna khush hai itna khush hai Uski Aankhen bheeg gai hain Magar ! Aaj ye jan gaye hain Mausam uss din kyon roya tha..! 'Mosam urdu poetry'