Posts

Showing posts from August, 2012

Na main yun dar badar phirta

Image
Na main yun dar badar phirta na tum khudko saza dete Ye acha tha k hum dono zamane ko bhula dete "Saadullah Shah Poetry" Urdu Poetry_Saadullah Shah Urdu Poetry Collection

Kamal-e-zabt ko khud bhi to aazmaon gi

Image
Kamal-e-zabt ko khud bhi toAazmaon gi mein apne haath se uski dulhan sajon gi Supard kar ke usse chandni k haatho mein Mein apne ghar k andheron ko loT jaon gi "Parveen shakir poetry" Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

Honton Pe Mohabbat Ke Fasaane Nahi Aate

Image
Honton pe mohabbat ke fasaane' nahi Aate Sahil pe samandar ke khazane nahi Aate Palkein pe chamak uThti hain sote mein hamari Aankhon ko abhi khwab chhupane nahi Aate "Bashir badr Poetry" Best bashir badr poetry

Apna Bana Ke Chor Diya

Image
Usne kaha sun ! Ek Din Tera Guroor Toroon Ga, Tujhe Apna Bana Ke Choroon Ga, Or Phir Uoon Huwa Ke, Usne Mujhe 'Apna Bana Ke Chor Diya' "Urdu Poetry, Poem" Best Urdu Poem

Mohabbat Phool Hoti Hai

Image
Mohabbat phool hoti hai' mohabbat khaar hoti hai mohabbat boond hoti hai mohabbat dhaar hoti hai mohabbat jeet hoti hai mohabbat haar hoti hai mohabbat takht hoti hai mohabbat daar hoti hai kabhi aesa bhi lagta hai mohabbat paas hoti hai magar ,,,, ! mohabbat us paar hoti hai "Urdu Poetry, Poem" Best urdu poem

Kisi Ka Pyar Kabhi Akhri Nahi Hota

Image
Simat Saka Na Kabhi, Zindagi Ka Phelao Kahein Bhi Khatm Gham-e-Ashqi Nahi Hota Nikal Hi Aati Hai Koi Na Koi Gunjayish Kisi Ka Pyar Kabhi Akhri Nahi Hota' "Urdu Poetry" Sad urdu poetry

Kho Kar Kabhi Usay To Kabhi Pa K Ro Parey

Image
Be aetabaar-e-waqat pe, jhunjhula ke ro parey kho kar kabhi usay to kabhi pa k ro parey khushian hamare paas kahan mustaqil rahi bahir kabhi hansay kabhi ghar aake ro parey "Urdu Poetry" Sad poetry in urdu

Insha Ji Haan Tumhain Bhi Dekha

Image
Insha ji haan tumhain bhi dekha'darshan chote naam bohat Chock mein khoTa maal saja kar le leto ho daam bohat You to humare dard mein ghail subah bohat ho shaam bohat Ik din sath humara do ge is mein hamen ilhaam bohat "Ibn-e-Insha Urdu Poetry" Ibn-e-insha poetry in urdu

Milen hum kabhi to aise

Image
Milen Hum Kabhi To Aise Ke Hijaab Bhool Jaye Mein sawal bhool jau wo jawab bhool jaye "Saadullah Shah Poetry" Urdu Poetry_Saadullah Shah Urdu Poetry Collection

Bhari bhahar main ab ke

Image
Bhari Bhahar Main Ab Ke ajeeb phool khile Na apne zakhm hi mehke na dil k chak siley "Mohsin Naqvi Urdu Poetry" Mohsin naqvi shayari

manzil nahi milti

Image
Insani Zindagi Kathin Or Dushwarion Se Labrez Hai Jo Log Is Musafat Se Thak Jate Hain... "urdu achi batain" insani zindagi kathin_ jazbay,urdu poetry

Khud Apne Aap Se Sharmindagi Si Hoti Hai

Image
Khud Apne Aap se sharmindagi'si hoti hai Kabhi kabhi to baRi be-dili si hoti hai Sulagti dhoop ghani candni si hoti hai Tumhare sath ye dunya naei si hoti hai "Bashir badr urdu shayari" Poetry of bashir badr

Mohabbat Ki Ajoobiat

Image
Mohabbat Ki Ajoobiat

Tab insan kuch nahi kar sakta

Image
Tab insan kuch nahi kar sakta

Sochon se eman banta hai

Image
Sochon se eman banta hai

Waqt guzar jata hai

Image
Waqt bohat guzar chuka hota hai

Zikar Tera Meri Kahani Mein

Image
Zikar tera meri kahani main chand ka aks jesay pani main woh to khamosh rahi or hum jane kia keh gaye rawani main apni aankhen ganwai hain humne apne khwabon ki pasbani mein ek muddat ka saath chhut gaya ek vhhoti si badgumani mein "SadUrdu Poem" Love urdu poetry

Chor Gai Hai Apna Aap

Image
Aaj Wo Muddat Baad Aai Bhi Bus Ye kehne Mere sare khat loTa do sab tasweerain qalam kitabain! wapas kar do sare tuhfey mujh se sab kuch mangne wali Jate jate..! mere kamre ki chokhaT par chor gai hai apna aap ! "Wasi Shah Poetry" Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

Dukh Bolte Hain

Image
"Dukh Bolte Hain " Dukh bolte hain jab seene andar saans ke darya dolte hain jab Mausam sard hawa mein chup si gholte hain jab aansoo palken dho lete hain jab sab aawazen apne apne bistar par so jati hain tab ahista ahista aankhen kholte hain dukh bolte hain ...!! "Farhat abbas shah" Farhat abbas shah Urdu Poetry

Musafir ke raste badalte rahe

Image
Musafir ke raste badalte rahe Muqadar mein chalna tha chalte rahe Koi phool sa  haath kandhe pe tha mere haath sholon mein jalte rahe Bashir badr urdu poetry Bashir badr urdu shayari

Har ik chiragh ki low aesi soi soi thi

Image
Har ik chiragh ki low aesi soi soi thi Wo shaam jaise kisi se lipaT k roi thi naha gaya tha mein kal jugnuo ki barish mein wo mere kandhe pe sar rakh k khoob roi rhi Bashir badr shayari Bashir badr shayari in urdu

Uski Aankhon ko kabhi gor se dekha hai faraz

Image
Uski aankhon ko kabhi gor se dekha hai faraz soney walon ki tarah jagney walon jaisi Faraz Urdu Poetry Aankh urdu poetry

Teri khushboo nahi milti

Image
Teri khushboo nahi milti tera lehja nahi milta Hamain to shaher men koi terey jaisa nahi milta Yeh kesi dhund men ham tum safar aaghaz kar baithay Tumhain aankhain nahi milti hamain chehra nahi milta Har ik tadbeer apni raayegaan thehri mohabbat men Kisi bhi khawab ko tabeer ka rasta nahi milta Bhala us k dukhon ki raat ka koi madawa hai Wo maa'n jis ko kabhi khoya hua bacha nahi milta Zamanay ko qarinay sey who apney sath rakhta hai Magar merey liye us ko koi lamha nahi milta Musafat men dua-e- abr un ka sath deti hai Jinhain sehra k daaman men koi darya nahi milta Jahan zulmat ragon men apney panjay gaar deti hai Usi tareek rastey par diya jalta nahi milta "Noshi Gilani Poetry" noshi gilani poetry in urdu

Milkar Juda Hue To Na Soya Karenge Hum

Image
Milkar juda hue to na soya karenge hum ik doosre ke yaad mein, roya karenge hum aansoo chalak chalak ke satain ge raat bhar moti palak palak main proya karen ge hum Urdu shayari Sad poetry in urdu

Bheegi hui ik shaam ki dehleez pe baithe

Image
Bheegi hui ik shaam ki dehleez pe baithe hum dil ke sulagne ka sabab, soch rahe hain "Best Urdu Poetry" Sad urdu shayari

Shaam Hote Hi Chiragon Ko Bujha Deta Hoon

Image
Shaam hote hi chiragon ko bujha deta hoon dil hi kaafi hai teri yaad main jalne ke liye "Urdu Poetry" Sad poetry pics

Wo chandni ka badan

Image
Wo chandni ka badan khushbowon ka saaya hai bohat azeez hamain hai, magar paraya hai, "Sad Urdu Poetry Sad poetry in urdu

Har Ek Sawal Ka Usko Jawab Kya Dete

Image
Har ek sawal ka usko jawab kya dete hum apni zaat ka usko hisaab kya dete jo ek lafz ki khushboo na rakh saka mehfooz hum us k haath main pori kitaab kya dete "Best Urdu Poetry" Best urdu poetry

Shumaar Uski Sakhawat ka Kya karen

Image
Shumaar uski sakhawat ka kya karen ke wo shakhs chiragh bantta phirta hai, cheen kar aankhen "Urdu Poetry" Best urdu poetry

Ajeeb tarah se socha hai zindagi ke liye

Image
Ajeeb tarah se socha hai zindagi ke liye ke zkham zakhm mein khilta hu har khushi k liye "Saadullah Shah Poetry" Urdu Poetry _ Saadullah Shah Collection Of Urdu Poetry

kachi umar ke khwab

Image
Satra baras ki, kachi umar main khwab kitne achay hote hain, har koi acha lagta hai, har koi sacha lagta hai, pukhta umar main, kachi umar ke saare khwab, chakna choor ho jate hain, mun ko pagal kar dete hain, rooh ko ghayal kar dete hain, ! "Best Urdu Poetry" Best urdu poem

Dukh Bicharne Ka Nahi Hota

Image
Dukh bicharne ka nahi hota' balke !! un rishto'n k tuutne ka hota hai jo barso'n ki rafaqat k baad ek pal main toot jate hain aur hum  ! tahhi daman reh jate hain, "Sad Poetry" Sad urdu poem

Mumkin Hai is khel mein

Image
Mumkin he is khel mein kuch na paon, yonhi khali haath reh jaon, phir bhi ik aakhri koshish, mujhe aur kar lene do, insano ki is basti main, mujhe dil ka muqadma lar lene do, !!! "urdu poem" Sad urdu poem

Tum ne apni chahton ka iqrar manga hai

Image
Tum Ne Apni Chahton Ka Iqrar Manga Hai To Suno ! dil k dache jazbey izhaar k muhtaj nahi hote ye to wo jazbey hain jo jugnu ban kar Aankhon mein chamakte hain... "Noshi Gilani Poetry" noshi gilani shayari in urdu

Labon pe phool khilte hain

Image
Labon pe phool khilte hain kisi ke naam se pehle dilon ke deep jalte hain charagh-e-shaam se pehle kabhi manzar badalne par bhi qissa chal nahi pata kahani khatam hoti hai kabhi anjaam se pehle yahi taare tumhari aankh ki chilman mein rehte hain yahi sooraj nikalta hai tumhare baam se pehle dilon ki jagmagati bastyan taraaj karte hain yahi jo log lagte hain nehayat aam se pehle hui hai shaam jangal mein parinde lot'te honge ab unko kis tarah roken nawahe daam se pehle ye saare rang murda thay tumhari shakal banne tak ye saare harf mehmal thay tumhare naam se pehle hua hai wo agar munsif to "amjad" ehtiyatan hum saza tasleem karte hain kisi ilzaam se pehle "Amjad islam amjad urdu poetry" urdu poetry amjad islam amjad

Na pooch Aaj shab e hijar kisqadar hai udas

Image
Na pooch Aaj shab e hijar kisqadr hai udas kahin kahin koi tara hai, aur kuch bhi nahin, rawan dawan hain safeene talash main jiski, wo ik shikasta kinara hai, aur kuch bhi nahin, "urdu poetry" Best Urdu Poetry

Wafa kya hai

Image
Mujh se poocha tha, ek din usne, tujhko kuch ilm hai ? wafa kia hai ? main tahiyar se kuch na bol saka, sirf aankhon ke tar jazeeron main, ek selab sa umad aaya, aur kuchh bolne se pehle tak, mere rukhsar tar they, mun tar tha !!! "Sad poem in urdu" Sad poem in urdu

Ja ke kahain kis se fasana apna

Image
Ae nooh ki kashti ko,bachane wale aaya gardabe hawadis main, safeena apna is mushkil main, agar tu hi hamari na sunay aur hum ja ke kahen kis se fasana apna, "sad poetry in urdu" Best Urdu Poetry

Saya jo teri zulf ka phela hai

Image
Barsi he aag, jalte hue asman se ya phir dhuwan utha hai, humare makan se insan hu'n kanch ka, kahin bikhru'n na toot kar pathar na phenk tu meri janib chatan se saya jo teri zulf ka phela hai char su mujh ko garaz hi kya hai kisi sayeban se chhoota na mujhe se daman-e-sabr-o-yaqee'n jamal guzra hu'n kai baar karay imtehan se "urdu shayari" Best Urdu Poetry

Bhool jana bhi usay yaad bhi karte rehna

Image
Bhool jana bhi usay yaad bhi karte rehna achha lagta hsi, isi dhun main bikhrte rehna hijar walon se,badi der main seekha hum ne zinda rehne ke liye, jan se guzarte rehna, "urdu shayari" Best urdu poetry

Aate jate sare mausam

Image
Aate jate sare mausam rim jhim girta barasta pani shaam sawere pheli khushboo apni soch ka har ik pehlu apne dil ka har ik gosha main ne tere naam kia hai ! "Love urdu poem" Love urdu poem

Kabhi mere kandhe par sar rakh ke

Image
Kabhi mere kandhe par sar rakh ke dekhna' tumhare sare gham bhi, muskara denge !!! "urdu poem" Love urdu poem

Raat se ji hai sogawar

Image
Raat se ji hai sogawar bohat yaad aao na aaj yaar bohat raat kehti hai badar so jao ho chuka uska intazar bohat "sad poetry" Best Urdu Poetry

Jo Aansoo dil main girte hain

Image
Jo aansoo dil mein girte hain wo aankhon mein nahi rehte bohat se harf hain aese jo lafzon mein nahi rehte kitaabon mein likhe jate hain dunya bhar ke afsane magar jin mein haqeeqat ho kitaabon mein nahi rehte bahaar aaye to har ik phool par ik saath aati hai hawa jin ka muqadar ho wo shaakhon mein nahi rehte liye phirte hain kuch ahbaab aese muztarib sajde jahaan darbar mil jaye jabeenon mein nahi rehte mehek aur titlion ka naam bhanwre se juda kyon hai ke ye bhi to khizaan aane pe phooln mein nahi rehte "Amjad islam amjad poetry in urdu" Urdu Poetry amjad islam amjad

Is rahe mohabbat main to aazar mile hain

Image
Is rahe mohabbat main' to aazar mile hain Phoolon ki tamana thi magar khar mile hain Anmol jo insan tha koRi mein bika hai Dunya k kaei aise bhi bazar mile hain "Nasir Kazmi Urdu Poetry" Urdu poetry by nasir kazmi

Dukh Dard Ke Maron Se Mera Zikar Na Karna

Image
'Dukh dard k maron se mera zikar na karna' Ghar jao to yaron se mera zikar na karna Wo zabat na kar paen gi ankhon k samandar Tum raah guzaron se mera zikar na karna Pholon k nasheman me raha hon me sada se Daiko kabhi kharon se mera zikar na karna Shaid ye andhaire hi mujhe raah dikhaen Abb chand sitaron se mera zikar na karna Wo meri kahani ko ghalat rang na de dain Afsana nigaron semera zikar na karna Shaid wo mere haal pe be- sakhata roo dain Iss bar baharon se mera zikar na karna Le jaen ge gehrai me tum ko bhi baha kar Darya k kinaron se mera zikar na karna Wo shakhs mile to use har bat batana Tum sirf isharon se mera zikar na karna "Wasi Shah Poetry" Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

Habs e dunya se guzar jate hain

Image
Habs-e-Duniya Se Guzar Jatay Hain Aisa Kartay Hain Ke Mar Jatay Hain Kaisay Hotay Hain Bicharnay Waalay ? Hum Ye Sochain Bhee Tou Dar Jatay Hain Dil Jo Tootay Tou Sar-e-Mehfil Bhi Baal Be-Wajaa Bikhar Jatay Hain Ab Na Dekho Meri Banjar Aankhain Charhtay Darya Tou Utar Jatay Hain Dhoop Ka Roop Rachaanay Waalay Shaam Ko Aur Nikhar Jatay Hain Tum Kahaan Jao Ge Socho Mohsin ? Log Thak Haar Ke Ghar Jatay Hain "Mohsin Naqvi Urdu Poetry" Mohsin naqvi sad poetry

Mil geya tha to usey khud se khafa rakhna tha

Image
Mil Geya Tha To Usey Khud Se Khafa Rakhna Tha Dil Ko Kuch Dair To Masroof E Dua Rakhna Tha Main Na Kehta Tha K Saanpon Se Attey Hein Raastey Ghar Se Nikley They To Haathon Mein Aasa Rakhna Tha Baat Jab Tark E Tualuq Pe Hi Thehri Thi To Phir Dil Mein Ehsaas E Gum E Yaar B Kia Rakhna Tha Daman E Moj E Hava Yun To Na Khaali Jata Ghar Ki Dehleez Pe Koi To Dia Rakhna Tha Kia Khabar Us K Taqub Mein Hon Kitni Sochain ? Apna Andaz To Auron Se Juda Rakhna Tha Chandni Bund Kuvarron Mein Kahan Utrey Gi ? Ik Dareecha To Bharey Ghar Mein Khula Rakhna Tha Uski Khushbu Se Sajana Tha Jo Dil Ko Mohsin Uski Sanson Ka Laqab Moj E Saba Rakhna Tha "Mohsin Naqvi Urdu Poetry" best poetry of  Mohsin naqvi

Usko Dekhe Saal Hue Hain

Image
Usko dekhe saal hue hain Saare khwab khayal hue hain Mosam  phir barsat ka  aaya Saare  dard bahaal hue hain Bheeg  na jaye  mera  daman Badal  kale  baal  hue hain Khwabon jaisi  zulfain uski Aur tabeerain gaal hue hain Uska roop  aur meri Aankhen Saare manzar  laal hue hain Charon janib aawazain  hain Dil ke dard ghazal hue hain Batain uski  shayr  humaare Ye bhi saad kamal hue  hain "Saadullah Shah Poetry" Urdu Poetry_Saadullah Shah "Collection Of Urdu Poetry"

Chand tere baam se ubhra hoga

Image
Jis sammay 'chand tere baam se' ubhra hoga tune us pal main, usay gor se dekha hoga tune us pal main koi naam to socha hoga jo tere lab pe dua ban ke bhi thehra hoga eid ke card teri mez par bhikhre ho'n ge aur sarhane koi phool bhi rakha hoga tere hatho'n ki hinna rang pakarti hogi choriya'n kanch ki aur soney ka kangna hoga jewellery tum ne kisi shaam khareedi hogi Eid ka jora kisi aur ne bheja hoga ab tere bare mein jo sochta rehta hai yonhi kab bhala tu ne usse yaad bhi rakha hoga "Eid poetry" Eid shayari in urdu