Posts

Showing posts from March, 2013

dard jiska hai

Image
Dard hi merirahat-e-jaan hai dard se mujh ko unsiyat hai bohat dard se mera ik rishta hai mein bhi uska hu'n dard jiska hai' "Dard urdu poetry" Urdu Poetry Dard

Ek sard shaam mein

Image
Sardion ki ek sard shaam mein usne mere haath thaam ke kaha itne garam haath wafa ki nishani hote hain mujhe ab khayaal aaya hai us waqt uske haath kitne sard they !!! "Shaam urdu poetry" shaam urdu poetry images

Bhoolta kon hai

Image
Bhoolta kon hai umar ki shaakh pe khilne wali us awaleen "shaam" ko be-sabab jo laga us ilzaam ko phir tere naam ko Bhoolta kon hai...!! "Shaam urdu poetry" shaam poetry in urdu

Ek Diya Dil Mein Jalana Bhi Bujha Bhi Dena

Image
Ek Diya Dil Mein Jalana' Bhi Bujha Bhi Dena, Yaad Karna Bhi Isse Roz Bhula Bhi Dena, Kya Kahoon Ye Meri Chahat Hai Ke Nafrat Uski, Naam Likhna Bhi Mera Likh Ke Mita Bhi Dena, Phir Na Milne Ko Bichhadti To Hon Tujhse Lekin, Mud Ke Dekhun To Palatne Ki Dua Bhi Dena, Khat Bhi Likhna Usse Mayoos Bhi Rehna Us se, Jurm Karna Bhi Magar Khudko Saza Bhi Dena, Mujhko Rasmon Ka Takalluf Bhi Gawara Lekin, Jee Mein Aaye To Ye Deewar Gira Bhi Dena, Us se mansoob bhi kar lena puraane Qissay, Uske baalon mai naya phool saja bhi dena, Surat-E-Naqshe Qadam Mein sada Rehna Mohsin, Apne Hone Se Na Hone Ka Pata Bhi Dena… "Diya poetry in urdu" Diya urdu shayari

aansoo bhi saath de na sake

Image
Woh haadsa tha ke'aansoo bhi saath de na sake' shikast-e-dil pe bohat der muskaraya hu'n woh ibtada thi ke dil mein tere samaya tha yeh intaha hai ke ab khaak mein samaya hu'n "Aansoo urdu poetry" Best Aansoo poetry

Aansoo ka ek qatra

Image
Aansoo ka ek qatra' aur pani ki ek boond shakal shabahat ek jesi lekin dono'n ki hayyat kitni ? phelte hi, tapakte hi ik lamhe ko theherte hi agle lamhe kho jana, fanna ho jana farq sirf itna hai in mein pani ki ik boond yeh dhabbe ka gumaan de jaye ! aur aansoo, yeh qatra.... jazbaat ka bayyan de jaye .....!!! "Aansoo poetry in urdu" Aansoo urdu shayari

Dard gar aadmi hota

Image
Dard gar aadmi hota' to gareban pakar kar kehte is tarah rehte hain,be-chain dilon ke andar is tarah karte hain beemaron se hum tumhen sehte hain,kuch tum to sehna seekho ek thori si khushi aye to jal jate ho...!! "Dard urdu poetry" Dard Urdu Poetry

Mein aankh se behte hue pani mein

Image
Mein aankh se behte hue pani mein' nahi tha hona tha mujhe jis ki kahani mein nahi tha mein uske har ik lafz mein mojood tha lekin afsos to ye hai ke mein maafi mein nahi th "Best Urdu poetry" Best Urdu shayari

Sab raste dushman hue

Image
Sab raste dushman hue'ashjar mukhalif tu' mera hua hai to hue yaar mukhalif bunyad rakhu'n koi to bunyad hai dushman deewar uthata hu'n to deewar mukhalif hathon main utha lete hain ozan ke pathar sunte hi nahi hain mere ashaar mukhalif main ishq ko hamdard samajh betha tha yara lagte na thay is beher ke aasar mukhalif du'n jaan to qurbani samajhta nahi koi gar thora sanbhalta hu'n to ghar bar mukhalif is sheher ko sach sunne ki aadat hi nahi hai lagte hain sabhi ko mere afkaar mukhalif suntay thay ke bas hote hain agyaar mukhalif mere to nikal aaye hain sab yaar mukhalif jo baat bhi ho dil main chupata nahi farhat har roz bana leta hu'n do char mukhalif "Farhat abbas shah poetry" Farhat abbas shah poetry in urdu

Barishen nahi rukti

Image
Barishon ke mosam mein' tum ko yaad karne ki aadaten purani hain ab ki baar socha hai aadaten badal dalen phir khayal aaya ke aadaten badalne se barishen nahi rukti_ _ !! "Barish poetry in urdu" Barsaat Urdu Poetry

Barishon ke mosam main

Image
barishon ke mosam main' dil ki sarzameeno'n par gard kyun bikharti hai is tarah ke mosam main phool kyun nahi khilte log kyun nahi milte kyun faqat ye tanhai saath saath rehti hai kyun bicharne walo'n ki yaad saath rehti hai itni tez barish main dil ke aaeiney par se aks kyun nahi dhulte zakhm kyun nahi mit'te neend kyun nahi aati barishon ke mosam main aankh kyun barsti hai ashq kyun nahi thamte barishon ke mosam main !!! "Barish sad poetry" Barsaat urdu poem

Abhi ik khwaab baqi hai

Image
Abhi jugnoo nahi roothay abhi aansoo nahi too'te abhi sooraj nahi jaga abhi taare nahi doobe abhi ik khwab baqi hai abhi manzil nahi aayi abhi aankho'n mein jal thal hai abhi dil mein halchal hai abhi ik khwab baqi hai, _ _ _ !! "Urdu Poem" urdu poetry_poetry of, urdu poem Urdu Poetry Collection

Meri aankhon ke samandar mein

Image
'Meri aankhon ke samandar mein'jalan kesi hai aaj phir dil ko tarapne ki lagan kesi hai ab kisi chhat pe chiragho'n ki qataren bhi nahi ab tere sheher ki galyo'n mein ghutan kesi hai barf  ke roop mein dhal jayen ge saare rishte mujhe se poochho ke mohabbat ki agan kesi hai mein tere wasal ki khwahish ko na marne du'nga mosam-e-hijar ke lehje mein thakan kesi hai regzaro'n mein jo banti rahi kanto'n ki rida uski majboor si aankhon mein kiran kesi hai mujhe masoom si larki pe taras aata hai usse dekho to mohabbat mein magan kesi hai "Wasi shah poetry" Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

Teri yaad ka aansoo

Image
Judai ki kasak liye teri yaad ka aansoo har shab ki aankh se tapka hai guzray kal ki tarah aaj ka din bhi tum bin udaas guzra hai...!! "Urdu Nazam" urdu poetry_poetry of, urdu poem Urdu Poetry Collection

Yeh barish khoobsurat hai

Image
Yeh barish khoobsurat hai' ik arsay ke baad meri rooh mein seraab hone ki tamana jaag uthi hai magar badal ke rastay mein bohat se per aate hain mein pal bhar ke liye shadab hu'n aur apni baqi umar phir sehra mein katu'n ? mein apni pyaas par razi rahu'n gi mere aansoo mere dil ki kifalat ke liye kafi rahen ge "Barish urdu poetry" Barsaat urdu shayari

Wo shakhs ke mein jis se mohabbat nahi karta

Image
Wo shakhs ke mein jis se mohabbat nahi karta hansta hai mujhe dekh ke,nafrat nahi karta, ghar walo'n ko gaflat pe sabhi kos rahe hain, choro'n ko magar koi malamat nahi karta, dete hain ujalay mere sajdo'n ki gawahi, mein chhup ke andhero'n mein ibadat nahi karta, bhoola nahi hu'n aaj bhi aadab-e-jawani, mein aaj bhi auro'n ko naseehat nahi karta, dunya mein qateel us sa muafiq nahi koi, jo zulm to sehta hai bagawat nahi karta, "Qateel shifai poetry" qateel shifai urdu poetry

Suraj ke be kinara sehra mein

Image
Suraj Ke Be'kinara Sehra Mein' Dhool Urata Hai Yaad Ka Mausam Apni Be'harf Aankh Aese Mein Zindgi Ke Warq Ulat'ti Hai Jaise Barish Mein Bheegti Chiriya Ghonsaley Ki Taraf Palat'ti Hai "Mohsin naqvi poetry Mohsin naqvi urdu shayari

Pathar bana diya mujhe

Image
Pathar bana diya mujhe' rone nahi diya Daman bhi tere gham ne, bhigone nahin diya Tanhaiyan tumhara pata pochti rehin Shab bhar tumhari yaad ne sone nahi diya Aankhon mein aake beth gai ashkon ki lehar Palkon pe koi khwab pirone nahi diya Dil ko tumhare naam ke aansoo azeez thay Dunya ko koi dard simone nahi diya Nasir yoon uski yaad chali haath tham ke, Mele mein is jahan ke khone nahi diya "Nasir kazmi shayari" Poetry by nasir kazmi

Bandh len Hath pe Seenay pe Saja len Tumko

Image
Bandh len hath pe seenay pe saja len tumko, Jee mein aata hai ke, taweez bana len tumko, Phir Tumhayn Roz Sanwaren, tumhen barhta dekhen, kyon na aangan mein chambeli sa laga len tumko, kia ajab khwahishen uthti hain humare dil mein, kar ke munna sa hawaon mein uchalen tumko, kabhi khwabo'n ki tarah aankh ke parday mein raho, kabhi khwahish ki tarah dil mein bula len tumko, is qadar toot ke tum pe humen pyar aata hai, apni banho'n mein bharen maar hi dalen tumko "Wasi shah urdu shayari" Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

hai dua yaad magar

Image
hai dua yaad magar harf-e-dua yaad nahi, mere naghmaat ko andaz-e-nawa yaad nahi, hum ne jin k liye,rahon mein bichaya tha lahoo, hum se kehte hain wahi aehde wafa yaad nahi, zindagi jabre musalsal ki tarah kati hai, jane kis jurm ki pai hai saza yaad nahi, mein ne palko'n se dar-e-yaar pe dastak di hai, mein wo saa'il hoon jisay koi sada yaad nahi, kese bhar aai'n sar-e-shaam kisi ki aankhen, kese tharai charaghon ki zia yaad nahi, sirf dhundlaey sitaro'n ki chamak dekhi hai, kab hua kon hua mujh se khafa yaad nahi, aao ik sajda karen alame madhoshi mein, log kehtay hai ke saghar ko khuda yaad nahi, "Saghar siddiqui poetry" urdu poetry_Poetry of, saghar siddiqui Urdu Poetry Collection

Aaj bhi shaam udas rahi

Image
Aaj bhi tapti dhoop ka sehra, tere naram labon ki shabnam, saye se mehroom raha, aaj bh pathar hijar ka lamha, sadyon se be khwab ruton ki, aankhon ka mafhoom raha, aaj bhi apne wasl ka tara, rakh urati shokh shafaq ki manzil se madoom raha, aaj bhi sheher mein pagal dil ko, teri deed ki aas rahi, muddat se gum sum tanhai, aaj bhi mere paas rahi, 'aaj bhi shaam udaas rahi' "Mohsin naqvi poetry" Mohsin naqvi urdu poetry