Posts

Showing posts from November, 2012

Teri mohni surat

Image
Haan mujhe nahi parwa ! ab kisi andhere ki aane wali ruto'n ke sab udaas raston par ek chand roshan hai teri mohni surat "Parveen shakir" Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

Yaron kahan tak muhabbat nibhaon mein

Image
Yaron Kahan Tak Aur Muhabbat Nibhaon Mein do mujhko bad dua k usse bhool jao mein......... "Qateel Shifai Poetry" Urdu Poetry Of Qateel Shifai

Raat Aankhon Mein Dhali

Image
Raat Aankhon Mein Dhali palokon pe jugnu Aaye' Hum hawao'n ki tarah jake usse choo Aaye......... "Bashir badr Poetry" Bashir badr poetry in urdu

Dil Hai BeTaab

Image
Dil Hai BeTaab aur nazar be chain shaam be-chain hai shajar be-chain "Farhat abbas shah Poetry" Urdu Poetry by farhat abbas shah

Ab k Yun Bhi Teri Zulfon Ki Shikan Tooti Hai

Image
Ab k Yun Bhi Teri Zulfon Ki Shikan Tooti hai' rang phute kahein khushboo ki rasan Totti hai "Mohsin Naqvi Urdu Poetry" mohsin naqvi shayari in urdu

Aansuon se dhuli khushi ki tarah

Image
Aansuon se dhuli khushi ki tarah' rishte hote hain shayari ki tarah door ho kar bhi hu ussi ki tarah chand se door chandni ki tarah "Bashir badr shayari" Urdu Poetry By Bashir badr

Zakhmon ko gulaab likh rahay hain

Image
Zakhmon ko gulaab likh rahay hain jaise koi khwab likh rahe hain....... Pani ko bana ke roshnai................ shulon ka jawab likh rahe hain....... "Qateel Shifai Poetry" Urdu Poetry By Qateel Shifai

hum khushi ke chah mein

Image
Hum k hushion k peechay mare mare Phirtay Hain Anhen Pakar Lene Choo Lene... "Sunehri batain in urdu" Urdu Poetry_Jazbay Urdu Poetry Collection

Tum ne to keh dia ke mohabbat nahi mili

Image
Tum Ne To Keh Diya K Mohabbat Nahi Mili MujhKo To Ye B Kehne Ki Fursat Nahi Mili Neendon Ke Dais Jaty Koi Khwab Dekhte Lekin Diya Jalany Se Fursat Nahi Mili TujhKo to Khair Shehr k logo Ka khoof Tha aur Mujh Ko Apne Ghar Se Ijazat Nahi Mili Phr Ikhtlaf-e-Raye Ki Sorat Nikal Pari Apni Yahan Ksi Se Bi Aadat Nahi Mili BeZaar Yun Hoe K Tere sheher Me Humain Sb Kuch Mila Sakoon Ki Dolat Nahi Mili "Noshi Gilani Poetry" Urdu Poetry of noshi gilani

Agar Tum Kisi Se Mohabbat Karte Ho To

Image
Agar tum kisi se mohabbat karte ho to usay Aazad chor do Agar Who Chala jaye to Usse bhool jao aur agar wo wapas Aa jaye to Uski parastish karo.... "Sunehri baatein"

Intezar Mat Karna

Image
Kabhi kisi ke aane ka intezar mat karna, kyonke intezar ka lamha, bohat takleef deh hota hai, aur jab intezar karwane wala na aaye, to intazar karne wala kirchi kirchi ho jata hai, aur ye dunya kirchi kirchi hone aur tootne walo'n ko kabhi nahi samet'ti balke aur torne phorne mein masroof ho jati hai, "sunehri batein" sunehri batain

Sochta Hun Ke Usay Neend Bhi Aati Hogi

Image
'Sochta hun ke usay neend bhi aati hogi' ya meri tarah faqat ashq bahati hogi wo meri shakl mera naam bhulane wali apni tasveer se kya aankh milati hogi is zamee'n par bhi hai selab mere ashko'n se mere matam ki sada arash hilati hogi shaam hote hi wo chokhat pe jala kar sham apni palko'n pe kai khwab sajati hogi hoti ho gi mere bose ki talab mein pagal jab bhi zulfo'n mein koi phool sajati hogi mere tareek zamano'n se nikalne wale roshni tujhe ko meri yaad dilati hogi dil ki masoom ragen khud hi sulagti hongi ju'nhi tasveer ka kona wo jalati hogi roop de kar mujhe us mein kisi shehzade ka apne bacho'n ko kahani wo sunati hogi "Wasi shah poetry" Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

Baad Muddat Usse Dekha Logo

Image
Baad muddat usse dekha logo wo zarra bhi nahi badla  logo khush na tha mujh se bicharr ker who bhi us ke chehrey pe likha tha logo uski aankhen bhi kahe deti thien raat bhar wo bhi na soya logo ajnabi ban ke jo guzra hai abhi tha kisi waqt mein apna logo dost to kher koi kis ka tha, usne dushman bhi na samjha logo raat wo dard mere dil mein utha subah tak chen na aaya logo pyaas daryao'n ki phir tez hui abar phir toot ke barsa logo "Parveen shakir" Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems