Posts

Showing posts from December, 2012

Kya mila mohabbat se

Image
Kya mila mohabbat se, khwab ki musafat se wasl ki tamazat se roz o shab riyazat se kya mila mohabbat se ek hijar ka sehra ek shaam yaadon ki ik thaka huwa aansoo "Noshi gilani poetry" noshi gilani

Jab bhi kehta hoon koi taaza ghazal tere liye

Image
Jab bhi kehta hoon koi taaza ghazal tere liye mere ehsas me khilte hain kanwal tere liye, janta hoon k mera dushman-e-jaan hai phir bhi, dil ki har baat pe karta hu'n ammal tere liye, dushmani youn to kisi se bhi nahi hai meri, sirf haalat se hai jang-o-jadal tere liye, aankh jamna hai meri is ke kinare aaja, mein ne banwaya hai ik taj mehal tere liye, apna ghar gor se dekha hi nahi tu ne qateel, ye to dunya mein hai jannat ka badal tere liye, "Qateel shifai" Urdu Poetry of qateel shifai

Raah mein hayal to rahoon ga

Image
Pathar hi sahi 'raah mein hayal to rahu'n ga' kuch dair tera mud-e-muqabal tu rahu'n ga jab tak teri bakhshish ka bharam khul nahi jata, ae meri sakhi mein tera saa'il to rahu'n ga, is wastay zinda hu'n sar-e-maqtale yaara'n, wabistae kam zarfi-e-qatil to rahu'n ga, ae tez hawa mera dhuwa'n dekh ke jana, bujh kar bhi nishan-e-rahe manzil to rahu'n ga, dushman hi sahi naam to lega mera tu bhi, you'n mein teri awaz mein shamil to rahu'n ga, jab tak mein bagawat na karoo'n jabr-o-sitam se, zinda mein hu paband-e-salasal to rahu'n ga, mohsin zad-e-aada se agar mar bhi gaya tu, mayyar-e -tameez-e-haq-o-batil to rahu'n ga, "Mohsin naqvi poetry" Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poem

Barish hui k dard ke naghmay baras gaye

Image
Tootay hue sitaar ke, sab taar kas gaye... barish hui k dard ke naghmay baras gaye' kesi siyaah raat thi dehleez par khari wo muskara diye to ujalay baras gaye shadabion ke dor ka anjam ye hua ab ke to boond boond ko darya taras gaye ab khaak ur rahi hai gulabo'n ke sheher mein wo loo chali hai ab ke ke pathar jhulas gaye ghar se khuloos kia gaya sab kuch chala gaya bato'n mein ras nahi raha haatho'n ke jas gaye aalam nein intakhab thay kuch log sheher mein koi to kuch bataye kaha'n jake bas gaye "Bashir badr poetry" Urdu Poetry By Bashir badr

Harfe taaza naii khushboo mein

Image
Harfe taaza naii khushboo mein likha chaahta hai baab ik aur mohabbat ka, khula chaahta hai ek lamhay ki tawajo nahi hasil uski aur ye dil k ussay had se sawa chahta hai ik hijaab-e-tahay iqrar hai manay warna gul ko maloom hai kya daste saba chahta hai ret hi ret hai is dil mein musafir mere aur ye sehra tera naqsh-e-kafe pa chahta hai yahi khamoshi kai rung mein zahir ho gi aurr kuchh roz ke wo shokh khula chahta hai raat ko maan liya dil ne muqadar lekin raat ke haath pe ab koi diya chahta hai tere pemane mein gardish nahi baaqi saaqi aur teri bazm se ab koi utha chahta hai "Parveen shakir poetry" Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

Ujray hue logo se guraizan na hua kar

Image
Ujray hue logo se guraizan na hua kar' haalat ki qabron k yeh qutbay bhi parha kar kya janiye kyo'n tez hawa soch mein gum hai khwabeda parindo', ko darakhto'n se ura kar us shakhs ke tum se bhi marasim hain to honge woh jhoot na bole ga mere samnay aakar ab dastaken de ga tu kaha'n ae ghame ahbab mein ne to kaha tha ke mere dil mein rah kar har waqt ka hansna tujhe barbad na kar de tanhai ke lamho'n mein kabhi ro bhi liya kar woh aaj bhi sadyo'n ki musafat pe khara hai dhoonda tha jisay waqt ki deewar gira kar barham na ho kam fehmi ko teh nazra', par ae qamat-e-fun apni bulandi ka gilla kar ae dil tujhe dushman ki bhi pehchan kaha'n hai tu halqaye yaara'n mein bhi muhtat raha kar mein mar bhi chuka mil bhi chuka moj-e-hawa mein ab ret ke seenae pe mera naam likha kar pehla sa kahan ab meri raftar ka aalam ae gardish-e-dora'n zara tham tham ke chala kar is rut mein kaha'n phool khilen ge dil-e-nada'n z

Gumsum hua Awaaz ka darya tha jo ik shakhs

Image
Gumsum hua awaaz ka darya tha, jo ik shakhs' Pathar bhi nhe ab, wo sitara tha jo ik shakhs shayad wo koi harf-e-wafa dhoond rha tha, chehron ko baday ghaur se parhta tha jo ik shakhs sehra ki tarah der se payaasa tha wo shayad badal ki tarah toot ke barsa tha jo ik shakhs ae tez hawa koi khabar uske junoo'n ki tanha safar-e-shoq pe nikla tha jo ik shakhs ab aakhri satron mein kahin naam hai uska ahbaab ki fehrist mein pehla tha jo ik shakhs haathon mein chupaye hue phirta hai kaei zakham sheeshay ke khilonon se behelta tha jo ik shakhs "Mohsin naqvi poetry" Urdu Poetry of mohsin naqvi