Posts

Showing posts from February, 2013

Har jagah tum ho

Image
Mein kahin gum hoon, tum kahin gum ho, phir bhi ye lagta hai, har jagah mein hoon, har jagah tum ho "Urdu Poem"   urdu poetry_Poetry of, Urdu Poem      Urdu Poetry Collection

Tumhein hum yaad karte hain

Image
Ye hum tasleem karte hain, tumhen fursat nahi milti, humare wastay tum ko, koi saa'at nahi milti, humari soch ke mehwar, kabhi ik pal to socho tum, tumhein hum yaad karte hain aur itna yaad karte hain, ke khud ko bhool jate hain, "Urdu Nazam poetry" urdu poetry_Poetry of, Urdu Poem Urdu Poetry Collection

Aankh se door na ho

Image
Aankh se door na ho' dil se utar jaye ga waqt ka kya hai guzarta hai guzar jaye ga itna maanos na ho khilwat-e-gham se apni tu kabhi khud ko bhi dekhe ga to dar jaye ga tum sare rahe wafa dekhte reh jao ge aur wo baam-e- rifaqat se utar jaye ga zindagi teri atta hai to ye jane wala teri bakhshish teri dehleez pe dhar jaye ga doobte doobte kashti ko uchala de du'n mein nahi koi to sahil pe utar jaye ga zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka faraz zalim ab ke bhi na roya to mar jaye ga "Ahmad faraz poetry" ahmad faraz shayari

Dil ye kehta hai kay

Image
Gar kisi tor har ik ulfat-e-jana'n ka khayaal, sher mein dhal ke, sanae rukh-e-jana'n na bane, phir to yoo'n ho ke mere sher-o-sukhan ka daftar, tol mein tole shabe hijar ka fasana na bane, hai bohat tashna magar nuskha-e ulfat mera, is sabab se ke har ik lmha-e-fursat mera, dil ye kehta hai ke ho qurbat-e-jana'n mein basar "Faiz ahmad faiz" Faiz ahmad Faiz Urdu Shayri

Shoq-e-deedar ki manzilen

Image
Manzilen manzilen, Shoq-e-deedar ki, manzilen pyar ki manzilen, zindagi ki kathin rah ki manzilen, joshe parwaz ki manzilen, apni dharti ki aabad bazaar ki manzilen, qol-o-iqrar ki manzilen, manzilen manzilen "Faiz ahmad faiz poetry" Faiz ahmed faiz shayari

Laakh Doori ho Magar Aehad Nibhate Rehna

Image
Laakh doori ho Magar'aehad nibhate rehna, Jab bhi barish ho, mera sog manate rehna, Tum gay ho to sar-e-shaam ye adat thehri, Bus kinare pe kharay haath hilate rehna, jane is dil ko ye aadab kahan se aye, uski raho'n mein nigahon ko bichate rehna, ek muddat se ye mamol hua hai ab to, aap hi roothna aur aap manate rehna, tum ko maloom hai farhat ke ye pagal pan hai, door jate hue logo'n ko bulate rehna, "Farhat abbas shah" Farhat abbas shah Urdu Poetry

Raat Abhi Tanhai Ki Pehli Dehleez Pe Hai

Image
Raat abhi tanhai ki pehli dehleez pe hai, Aur meri janib, apne haath barhati hai, soch rahi hoon, inko thamoo, zeena zeena sanato'n ke teh khano'n mein utroo'n ya apne kamray mein theroon, chand meri khirki pe dastak deta hai, "Urdu Nazam" urdu poetry_Poetry of, Urdu Poem Urdu Poetry Collection

Bas itna yaad hai

Image
Dua to janey kaunsi thi,Zehen mein nahin Bas itna yaad hai Ke do hatheliyan mili hui thin Jin mein ek meri thi Aur ek tumhari "Parveen shakir poetry" Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

Nishani koi to ab ke safar ki

Image
Nishani koi to ab ke safar ki ghar lana' takaan paon kiaur titliyon ke par lana, mein likh rahi hoon kahani teri rifaqat ki, jo ho sake to koi harf-e- motabar lana, yahi na ho ke musalsal wafa thaka dale, mohabbato'n mein nayya pan talash kar lana, safar ke shoq mein chal to paray ho tum ghar se, dukho'n ki gard se daman na apna bhar lana, jo kohe qaaf chale ho to chand chehro'n ka, mujasma koi acha talash kar lana, "Noshi gilani shayari" Urdu shayari noshi gilani

Pal mein doori ho jati hai

Image
Pal mein doori ho jati hai zaat adhoori ho jati hai aankhon mein nend aati nahi raat poori ho jati hai pehle to hoti hai chahat phir majboori ho jati hai kuch logo'n ki lamha bhar mein khwahish poori ho jati hai had se pyar guzar jaye to aksar doori ho jati hai "Urdu poetry" Best Urdu Poetry 

Mere khuda mujhe itna to motabar kar de

Image
Mere khuda mujhe itna to motabar kar de' mein jis makan mein rahta hun us ko ghar kar de ye roshni k taqqub mein bhagta hua din jo thak gaya hai ab is ko mukhtasar kar de mein zindagi ki dua mangne laga hu'n bohat jo ho sakay to duao'n ko be-asar kar de sitarae sehri doobne ko aaya hai zara koi mere sooraj ko ba khabar kar de qabeela war kamane karakne wali hain mere lahoo ki gawahi mujhe nidar kar de meri zameen mera aakhri hawala hai so mein rahu'n na rahu'n is ko barwar kar de mein apne khwab se kat kar jioon to mere khuda ujaar de meri matti ko dar badar kar de "Ifthikhar arif" Iftikhar Arif poetry in urdu

Shaam aur khushboo

Image
kitne baras lage,yeh jann'ne mein mujhe ke mere andar tera hona kya hai aesa hona bhi cahiye tha shaam hote hi chand mein roshni nahi aajati raat hote hi raat ki rani mehek nahi uthti 'shaam aur khushboo ke beech ek aesa lamha hota hai jiska humari zameen se koi taluq nahi hota us asmani lamhe ne ab humen choo liya hai "Parveen shakir" Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

Bharkain meri pyaas ko

Image
Bharkain meri pyaas ko' aksar teri aankhein, Sehra mera chehra hai, Samandar teri aankhein, phir kon bhala dade tabasum anhen de ga, royegi bohat mujh se bichar kar teri aankhen, bojhal nazar aati hai bazahir mujhe lekin, khilti hai bohat dil mein utar kar teri aankhen, ab tak meri yaado'n se mitaye nahi mit'ta, bheegi hui ik shaam ka manzar teri aankhen, mumkin ho to ik taaza ghazal aur bhi keh lu'n phir orh na len khwab ki chadar teri aankhen, yu'n dekhte rehna usse acha nahi mohsin, wo kanch ka pekar hain to pathar teri aankhen, "Mohsin naqvi poetry" Mohsin naqvi urdu poetry

Titliyan pakarne mein

Image
Titliyan Pakarne  Mein Door Tak Nikal Jana kitna achha lagta hai, phool jaise bachon par leher leher kirno'n ko cher kar guzarti hai chandni utarti hai jab shareer jharnon par dhoop saat rango'n mein phelti hai aankhon par burf jab pighalti hai uski narm palkon par phir bahaar ke saathi agaye thikanon par surkh surkh ghar niklay sabz sabz shakhon par jism-o-jaan se utray gi  gard pichlay mausam ki dho rahi hai sab chirya'n apnay pankh chashmon par saari raat sote mein muskara raha tha wo jaise koi sapna sa kanpta tha honton par "Parveen shakir" Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

khushboo ki poshaak pehen kar

Image
Amjad islam amjad urdu poem khushboo ki poshaak pehen kar' kon gali mein aaya hai kaisa yeh pegham rasa hai kya kya khabren laya hai khirki khol ke bahar dekho mosam mere dil ki baaten tumse kehne aaya hai... "Amjad islam amjad poetry"

Mujhe mehsoos hota hai

Image
Mujhe mehsoos hota hai Abhi tak meri socho'n mein, mere ghar mere kamray mein, kahin qadmo'n ki aahat hai, kahin yaadon ki mehkaren, kahin awaz ki lehren, kahin az khud sarapa meher, ik pekar hi mere samne hai, mujhe mehsoos hota hai, bohat si koshisho'n ke bawajood, ab bhi ! mein rukhsat ho chuke mehman ko, rukhsat kar nahi paya, "Urdu Poem" urdu poetry_Poetry of, sad poem_nazam Urdu Poetry Collection

Kuch Dino Se Haal Aesa Hai

Image
Sunno ! Ab kuch dino se haal aisa hai koi kitni bhi zillat de, koi kitni raonat se humain ronday, bura bilkul nahi lagta, gilla koi nahi hota, sukoo'n mehsoos hota hai, dua lab se nikalti hai, "Urdu Nazam" Urdu Poetry_Poetry of, Sad Poem Urdu Poetry Collection

Kitne Ajeeb Log Hain

Image
Hum aehl-e-aetabar, kitne badnaseeb log hain' jo raat jagne ki thi, who sari raat khwab dekh dekh kar,guzarte rahe jo naam bhoolne ka tha us ek naam ko gali gali pukarte rahe jo khel jeetne ka tha usko haarte rahe ajeeb log hain hum aehl-e-aetabar, kitne badnaseeb log hain kisi se bhi qarz-e-aabroo ada na hua lahoo lahaan saa'aton ka faisla na hua baras guzar gaye koi mojaza na hua wo jal bhuja ke aag jis ke sholaey nafs mein thi wo teer kha gaya, kaman jis ke dastaras mein thi sipahe sar ko faseel-e-shab ka intazar hai kab aye ga wo shakhs jis ka sab ko intazar hai hum aehle nazar kitne bad naseeb log hain ajeeb log hain hum aehl-e-aetabar, kitne badnaseeb log hain "Ifthikhar arif" Ifthikhar arif shayari in urdu

Meri arz-e- pak par utre

Image
khuda kare ke 'meri arz-e- pak par utre' woh fasl-e-gul, jise andeishaey zawaal na ho, yahan jo phool khiley, woh khila rahey sadiyon, yahan khizaa'n ko guzarne ki bhi majal na ho, yahan jo sabza ugay wo humesha sabz rahe, aur aesa sabz ke jiski koi misaal na ho, ghanni ghatayen yahan aesi barishen barsayen, ke pathro'n se bhi roedgi muhaal na ho, khuda kare ke waqar iska ger fani ho, aur is ke husan ko tashveesh-e-mah-o-saal na ho, har ek fard ho tehzeeb-o-fun ka oje kamal, koi malol na ho koi khasta haal na ho, khuda kare ke meri arz-e- pak par utre, woh fasl-e-gul, jise andeishaey zawaal na ho, "Ahmad nadeem qasmi urdu poetry" ahmad nadeem qasmi urdu poetry

Lab-E khamosh se afsha hoga

Image
Lab-E khamosh se afsha hoga' raz har rang mein, ruswa hoga, tum nahi the to sar-e-bam-e-khayal, yaad ka koi sitara hoga, kis tawaqa pe kisi ko dekhen, koi tum sa bhi hassen kya hoga, zeenatay halqaye aagosh bano, door betho ge to charcha hoga, zulmat-e-shab mein bhi sharmate ho dard chamke ga to phir kya hoga, jis bhi funkar ka shahkar ho tum, usne sadyon tumhen socha hog. "Ahmad nadeem qasmi poetry" Ahmed nadeem qasmi urdu shayari

Rasta badalne ke fun se waqif hai

Image
Safar mein 'rasta badalne ke fun se waqif hai' who shakhs chehra badalne ke fun se waqif hai, guroor e fatah mein mat bhoolana ke,doosri simt ganeem dasta badalne ke fun se waqif hai, ajeeb tajruba guzra ke dasht-e-gurbat mein, shajar bhi saya badalne ke fun se waqif hai, hui hai chashm-e-shanasa bhi ajnabi to khula, ke aankh rishta badalne ke fun se waqif hai, suni sunai pe ik dum yaqeen mat karna, ye khalq qissa badalne ke fun se waqif hai, badalte zaiqay is baat ki shahadat hain, ke jism naqsha badalne ke fun se waqif hai, ussi ke paas ab hakoomat hai ab qabeele ki, ke jo qabeela badalne ke fun se waqif hai, kisi ko pinjra badalne ka shoq hai rohi, koi parinda badalne ke fun se waqif hai "Urdu poetry" Best Urdu Poetry