Ab Aisi Mohabbat Kya Karni

urdu aansoo poetry, dard poetry, aansoo poetry images
Aansoo poetry
Ab Aisi Mohabbat Kya Karni
Kehne Ko Mohabbat Hai Lekin
Ab Aisi Mohabbat Kya Karni
Jo Neend Chura Le Aankhon Se
Jo Khawab Dekha Kar Palkon K
Tabeer Mein Kante De Jaye
Jo Gham Ki Kali Raton Se
Har Aas Ka Jugno Le Jaye
Jo Khawab Sajati Aankhon Ko
Aanso Hi Aansoo De Jaye
Jo Mushkil Kar De Jeene Ko
Jo Marne Ko Aasan Kare
Wo Dil Jo Pyar Ka Mandar Ho
Wo Yadon Ko Mehman Kare
Ab Aisi Mohabbat Kia Karni?
Jo Umar Ki Naqdi Le Jaye
Aur Phir Bhi Jholi Khali Ho
Wo Sorat Dil Ka Rog Bane
Jo Sorat Dekhi Bhaali Ho
Jo Qais Bana De Insan Ko,
Jo Ranjha Aur Farhad Kare,
Ab Aisi Mohabbat Kia Karni?
Jo Khushion Ko Barbad Kare
Dekho To Mohabbat K Bare Mein
Har Shakhs Yehi Kuch Kehta Hai
Socho To Mohabbat K Andar
Ek Dard Hamesha Rehta Hai
Phir Bhi Jo Cheez Mohabbat Hai
Kab In Baton Se Darti Hai?
Kab In K Bandhe Rukti Hai?
Ab Aisi Mohabbat Kia Karni......!
'Aansoo shayari'

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

kachi umar ke khwab