Posts

Showing posts from January, 2015

Manzar samait laye hain jo

Image
Qateel shifai Manzar samait laye hain jo Manzar samait laye hain jo tere gaoun ke neendain chura rahe hain wo jhonke hawaoun k teri gali se chaand zyaada haseen nahi kehte sune gaye hain musafir khalaoun k pal bhar ko teri yaad mein dharka tha dil mera ab door tak bhanwar se parey hain sadaoun k Daad-e-Safar mili hai kisay raah-e-shauq main ham nay miTa diye hain nishaan apnay paoun ke jab tak na koi aas thi, yeh pyas bhi na thi be-chain kar gaye hamain sayae ghataoun ke ham ne liya hai jab bhi kisi raahzan ka naam chehray utar utar gaye kuch rehnumaoun ke uglay ga aaftaab kuch aisi bala ki dhoop reh jayen ge zameen pe kuch dagh chaoun k 'Qateel shifai shayari'

Aaj bhi waisa hi mausam hai

Image
Mausam shayari Aaj bhi waisa hi mausam hai Aaj bhi waisa hi mausam hai Aaj bhi waisey hi badal hain Aaj bhi waisi hi barish hai Jab hum pehli bar mile they Yaad hai, humne ye socha tha Humko milte dekh kar mausam Itna khush hai itna khush hai Uski Aankhen bheeg gai hain Magar ! Aaj ye jan gaye hain Mausam uss din kyon roya tha..! 'Mosam urdu poetry'

Socha tha ke rakhun ga mein

Image
Saadullah shah shayari Socha tha k rakhu ga mein umron teri yadein tanhaa jo mein beTha hun to 'pal bhi nahi niklaa' wo paiR ke jiskaa nahi rishta ye zameen se jhulsa hai kaRi dhoop mein phal bhi nahi nikla pheltey hain sitare dar-e-shab par bhi hai pehra kyon Aaj wo roshan ho jo kal bhi nahi nikla beTha tha musafat se Dar kar lab-e-darya nikla hu to sathi mera thal bhi nahi nikla mudat se yahi ek ghuTan hai mere dil mein bhool to nahi uss ko badal bhi nahi nikla mushkil jo nahi kaam to Aasaan bhi nahi hai Uljhaa bhi nahi hun koi Hal bhi nahi nikla Ik Gham tha meri rooh ka jisne mujhe maara Ye gham hai k wo roz-e-azal bhi nahi nikla 'Saadullah shah poetry'

thakan to agle safar k liye bahana tha

Image
urdu poetry iftikhar arif thakan to agle safar k liye bahana tha usse to yun bhi 'kisi aur simt jana tha' wahi chirag bujha jis ki lau qayamat thi ussi pe zarb pari jo shajar purana tha mata-e-jan ka badal ek pal ki sarshari suluk khwab ka ankhon se tazirana tha wahi firaq ki baten wahi hikayat-e-wasl nai kitab ka ek ek warq purana tha qaba-e-zard nigar-e-khizan pe sajti thi tabhi to chal ka andaz khusrowana tha 'Iftikhar arif shayari'

Ye meri Aakhri mohabbat hai

Image
wasi shah shayari Ban paRey jo bhi Aap se keijiye jaiye keh diya mohabbat hai ye balla Tal ke hi nahi deti ishq hai ya koi museebat hai har mohabbat pe yunhi lagta tha Ye meri Aakhri mohabbat hai "Wasi shah poetry"

Mere char su jo khila raha

Image
Mere char su jo khila raha 'wo jamal to koi aur tha !' mere khawab jis mein ulajh geye wo khyaal to koi aur tha ! yahan kis hisaab ko joRte mere subho sham bikher geye jo azal ki subho kiya gaya wo sawal to koi aur tha ! jise tera jan k rakh liya wo malal to koi aur tha "Amjad islam amjad" amjad islam amjad

Hamare bas mein agar apne faislay hote

Image
Noshi gilani Hamare Bas Mein Agar Apne Faislay Hote To Hum Kabhi K Gharon Ko Palat Gaye Hote Qareeb Reh Ke Sulaghne Se Kitna Behtar Tha Kisi Muqaam Par Hum Tum BichaR Gaye Hote Kabhi To ret Ko Ham Muthion Mein Bhar Lete Kabhi Hawaaon Se Apne Mukaalmay Hote Hamaray Naam Pe Koi Charaagh Tou Jalta Kisi Zabaan Pe Hamaray Bhi Tazkare Hote Ham Apna Koi Alag Raasta Bana Lete Hamare Dil Ne Agar Hoslay Kye Hote "Noshi gilani poetry"

Dil dhaRakne ka sabab yaad aaya

Image
Nasir kazmi poetry Dil DhaRakne Ka Sabab Yaad Aaya Wo Teri Yaad Thi Ab Yaad Aaya Aaj Mushkil Tha Sambhalna Ay Dost TU Musibat Main Ajab Yaad Aaya Din Guzra Tha Bari Mushkil Se Phir Tera Waada-e-Shab Yaad Aaya Tera Bhula Hua Paimaan-e-Wafa Mar Rahenge Gar Ab Yaad Aaya Phir Loog Nazar Se Guzre Phir Koi Sheher-e-Tarab Yaad Aaya Haal-e-Dil Hum Bhi Sunate Laikin Jab Wo Rukhsat Howa Tab Yaad Aaya Baith Kar Saaya-e-Gul Main ‘Nasir’ Hum Bohat Roye Wo Jab Yaad Aaya "Nasir kazmi shayari"

Tere dhiyan ki tez hawa

Image
Pat jhaR ki dehleez pe bikhre BE-Chehra   paTon  ki   Surat Hum ko  saath liye phirti hai Tere  Dhiyaan  ki  tez  hawa ! "Amjad islam amjad" Amjad islam amjad

Ab to mohabbat hai

Image
urdu poem pix Wo munkar hai mohabbat se ? mein ab tak jan na paya wo Aakhir dard seeney ke kahan tak ab chupaey ga koi kandha,koi deewar Aakhir DhoonD paye ga jab apna dil wo khole ga To khul ke phir wo ro le ga mohabbat ki kalli uss waqt jab phutey gi seeney mein Mein uss se phir ye poochu ga Bata ab to mohabbat hai.!! "Urdu poem, urdu nazam"

Ye na samjho k Tal rahi hi sham

Image
urdu shayari Ye na samjho k 'Tal rahi hi sham' Apney 'tewar badal rahi hai sham' Tum  nahi aaye' aur  uss din  se' Mere seeney me Jal rahi hai sham' Phelti   ja   rahi   tareeeeeki' Ek Dukh se Nikal rahi hai shaam' Zard suraj chuppa raha hai Badan' Lamha Lamha Pighal rahi hai sham' ORhati   ja  rahi  hai  Khamoshi' Aisa Lagta hai'Dhal rahi hai sham' uss ke hamrah chal raha hai Din' Meray hamrah chal rahi hai sham' "Farhat abbas shah shayari"

Mere hasrat k janaze ko uthane wale

Image
Mere hasrat k janaze ko uThane wale kitne be-dard hain ye log zamane wale Koi apna nahi matlab ki hai dunya sari ab kahan milte hain wo yaar purane wale Mein duago hu sada neenden ho mubarak tujhko hijar ka dard mujhe de ke jagane wale Bas yahi soch ke har bar manata hu usse loT ke Aate nahi hain rooTh k jane wale Unke seeno mein kabhi jhank k dekho "Mohsin" kitne afsurda hain auron ko hansane wale "Mohsin naqvi shayari" Mohsin naqvi poetry