Posts

Showing posts from July, 2014

Toot kar pyar kyon nahi karta

Image
Toot kar pyar kyon nahi karta khul k izhaar kyon nahi karta naqal karta hai qisae darwesh apna kirdaar kyon nahi karta sar uThane lagi hain deewarein un ko musmaar kyon nahi karta ye tere haath ki lakeeren hain tu unhain paar kyon nahi karta kya  hui  Sed    afgani   teri loT  kar war kyon  nahi  karta wadi-e-gul  talaash karta  hai ser-r-kuhsaar  kyon nahi karta yaar tu kis hawa mein rehta hai apna ghar baar kyon nahi  karta "rasa chughtai urdu poetry" rasa chughtai poetry

wo kahan gaien teri hasratein

Image
Urdu nazam Wo kahan gaien teri fursatain wo kahan gaien teri chahatein mere hamsafar mere hamnasheen shab-o-roz ki wo qurbatain shab-o-roz ki wo hikayatain kabhi kaise din ki thakawaTain mere saath mil ke guzarna meri zulf ko sanwarna mujhe apni jaan pukarna kabhi khoi khoi si zindagi kabhi hans ke din ko guzarna kabhi ro ke raatain ujaaRna wo kahaan gaien teri hasratain wo kahan gaien teri chahatain "Best urdu poem"

aankhon mein khwab kya honge

Image
Andhi aankhon mein khwab kya honge un mein roshan shahaab kya honge jis ke sar par na aasman Thehra uss ke sar par sahaab kya honge jo na behkey kabhi jwani mein uss pe utre shahaab kya honge tujh ko chaaha teri ibadat ki is se baRh kar sawab kya honge tan ki belon pe hai khizan chaayi man mein khilte gulaab kya honge yun na mangein rifaqaten tujh se jaante they jawaab kya honge chand lamhey wisaal ke basit in se sehra seraab kya honge "best urdu poetry" Best poetry images

Ek wada hai kisi ka

Image
Ek wada hai kisi ka jo wafa hota nahi warna in taron bhari raton mein kya hota nahi har shanawar ko nahi milta talaTum se khiraj har safeene ka muhafiz nakhuda hota nahi har bhikari pa nahi sakta maqaam e khwajgi har kas o na kas k tera gham at'ta hota nahi haaey ye be gaangi k apni nahi mujh ko khabar haaey ye aalam k tu dil se juda hota nahi "Saghar siddiqui urdu poetry" Saghar Siddiqui poetry pics