Posts

Showing posts from July, 2013

Yu to gham sab ki zindagi mein hai

Image
Yu to gham sab ki zindagi mein hai' Zabt lekin kisi kisi mein hai Uss ne sun kar chazal kaha meri Kitna Dukh teri zindagi mein hai "Dard urdu poetry" Dard urdu poetry

mein harf-e-dua dhoondta raha

Image
Lafzon ki justajoo mein sab kuchh ganwa diya' Who chal diya mein tarz-e-ada dhoondta raha Usko kisi ne rab se liya mang aur mein Sajdey mein gir ke 'harf-e-dua dhoondta raha' "Dard poetry in urdu" Urdu Dard poetry

Aehad nibhane ki khatir

Image
Uss ne kaha sun 'Aehad nibhane ki khatir' mat aana Aehad nibhane wale aksar Majboori ya mehjoori ki thakan se choor loTa karte hain Tum jao... Aur darya darya pyaas bhujao Jin aankhon mein doobo Jis dil mein utro Meri jalan tumhen awaz na degi Lekin jab meri chahat Aur meri khwahish ki low Itni tez aur ounchi ho jaye Jab dil ro de Tab loT aana....! "Ahmad faraz poetry" Ahmad faraz urdu shayari

Is se pehle ke In aankhon se

Image
Is se pehle ke In aankhon se lahoo girne lage Tujhko lahaq ho Kisi sard jazeere ka safar Meri awaz mein ajaye Gareebul watni A kisi roz Mohabbat ki ijazat ke sammay Apne khwabon ki zameeno'n ki hawa ko chhoo len "Dard urdu poetry" Dard urdu poem