Posts

Showing posts from October, 2013

Khata kisi se ho sarzad

Image
Khata kisi se ho sarzad sazza kisi ko mile Mareez-e-jabar ho koi dawwa kisi ko kile Ajeeb rang-e-jahan hai ajab nizaam-e-hayyat Talash-e-haq ho kisi ko khuda kisi ko mile "Best Urdu Poetry" Best urdu poetry in urdu

Ehsaas ki dolat

Image
Aehl-e-dil Hazraat Zarey Zarey mein dharkanen Mehsoos karte hain Jabke Pathar dil insanon ko 'Ehsaas ki dolat' se mehroom hone ka bhi Ehsaas Nahi hota .. "Sunehri Batain"

Dil ne apni zuban ka pass kia

Image
Dil ne apni zuban ka pass kia Aankh ne janey kia qayas kia Kia kaha baad-e-Subah gahi ne Kia chiragon ne altamas kia Kuch ajab tor zindagani ki Ghar se nikle na ghar ka pass kia Ishq ji jaan se kia hum ne Aur be-khuaf-o-be-haras kia kahin zahir kahin chupa dekha yaar ko humne ja-ba-ja dekha Raat Ayi idhar sitaron ne Shabnami perhan libas kia Sayae gul to mein nahi jisne Gul ko dekha na gul ka bas kia Baal to dhoop mein safed kiye Zard kis chhaon mein libas kia Kia tera aetabar tha tu ne Kia gazab sheher naspas kia Kia bataon sabab udasi ka Be-sabab mein isse udas kia Zindagi ik kitab hai jisne Jis ne jitna bhi aqtabas kia Jab bhi zikar-e-ghazal chhira ussne Zikar mera bator-e-khaas kia "Rasa Chughtai Poetry" Urdu Poetry Of rasa chughtai

Dard-e-hijr mein kho jati hain

Image
Dard-e-hijr mein kho jati hain Aankhen pathar ho jati hain Chubhti hain jab chandni ratain Qatra qatra, ro jati hain Aankh aur saagar ek barabar Sadyaan in mein kho jati hain "Dard Poetry" دردِ ہجر میں کھو جاتی ہیں آنکھیں پتھر ہو جاتی ہیں چبھتی ہیں جب چاندنی راتیں قطرہ قطرہ رو جاتی ہیں آنکھیں اور ساگر ایک برابر  صدیاں ان میں کھو جاتی ہیں (درد شاعری) Dard Urdu Poetry

Qissa-e-Ishq Usse humne sunaya hi nahi

Image
Qissa-e-Ishq Usse humne sunaya hi nahi Kya kahen apni tabiyat ko ye bhaya hi nahi Humko fursat ke kaei saal mile hain lekin Khud se milne ka kabhi zehen mein aaya hi nahi Dil kisi aur hi janib raha masroof-e-ammal Is liye apni taraf hum ko wo laya hi nahi Ik diya tha jo sulagta hi raha Aakhir-e-shab Der tak usko hawaon ne bhujaya hi nai "Saadullah shah Urdu Poetry" Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poem

Kabhi yu bhi to ho

Image
Kabhi yu bhi to ho Tanhai ho, Dil ho Boonden ho 'barsat ho Aur tum ho' Kabhi to yu bhi ho "Barish Poetry in urdu" Barsat urdu shayari

Har cheez fasley pe nazar aayi hai mujhe

Image
Har cheez fasley pe nazar aayi hai mujhe Ik shakhs zindagi mein huwa mujh se door kya Khud phool ki tarah mujhe khilne ka shoq tha Ab tez hai hawa to hawa ka qusoor kya "Urdu Poetry" Best Urdu Poetry 

Mujhe aksar ye kehti thi

Image
Mujhe aksar ye kehti thi K itni baar kehte ho Mujhe tumse mohabbat hai K ab dil par ye sunne se Assar koi nahi hota Magar jab Aaj danista Nahi bola usse mein ne Mujhe tumse mohabbat hai To uski aankh bhar aayi "Dard Poetry" Urdu poem

Mein ye nahi kehti

Image
Mein ye nahi kehti k koi dil mein na samaye Mein ye nahi kehti k koi aarzoo na ban paaye Par ! Itna zaroor kehna hai Agar samajh sako to Ye samajh lo k Dil mein kabhi kisi ko itni jagah na do k dil ke liye dharakna hi Mushkil ho jaye---! "Urdu nazam"

Bichra hai jo ik baar to

Image
Bichra hai jo ik baar to' milte nahi dekha Uss zakham ko hum ne kabhi silte nahi dekha Ik baar jisey chaat gai dhoop ki khwahish Phir shaakh pe uss phool ko khilte nahi dekha Yaklakht gira hai to jaren tak nikal aaein Jis per ko andhi mein bhi hilte nahi dekha Kis tarah meri rooh hari kar gayya aakhir Woh zeher jisey jism mein ghulte nahi dekha "Dard Poetry" Best Urdu Poetry

Abhi woh dard baqi hai

Image
Abhi woh dard baqi hai' Agarchey waqt marham hai Magar kuch waqt lagta hai Kisi ko bhool jane mein Dobara dil basaney mein Abhi kuch waqt lagna hai Abhi woh dard baqi hai Mein kaise naei ulfat mein Apni zaat ko gum kar doon Ke mere jism-o-wajdaan mein Abhi woh shakhs baqi hai Abhi uss shakhs ki mujh par Nigaah-e-sard baqi hai Abhi to ishq ke raston ki Mujh par gard baqi hai Abhi woh dard baqi hai, "Dard Poetry" Dard urdu poetry