Posts

Showing posts from January, 2013

Mohabbat kam nahi karna

Image
koi bhi roug de dena, koi bhi naam de dena, nahi subah sohani to, gamon ki shaam de dena, magar itni guzarish hai meri tareek rato'n se tum apni chahat ki low kabhi madham nahi karna, mohabbat kam nahi karna mohabbat kam nahi karna, "Urdu Nazam" urdu poetry _ Poetry of, urdu nazm Urdu Poetry Collection

Khwab Aankhon Mein

Image
ye shokhiaan hain ke taaza gulab aankhon Mein, chamak rahen hain kai aaftab aankhon mein, jo dekh lijiye kabhi gor se in aankhon ko, utarne lagte hain rangeen 'khwab aankhon mein' bohat chhupaya mere dil ne par numaya raha, wo aks aks rukh-e-mahtab aankhon mein, usse khabar na hui hum bhi bekhabar hi rahe, na jane kaise utar aaye khwab aankhon mein, mein jagta raha wo bhi na so saka shayad, hain ratjago'n ke numaya azaab aankhon mein, har ek harf numaya hai parh sako to parho, likha hai hijar ka ik ik hisaab aankhon mein, "Urdu shayari" Best poetry in urdu

Chara gar haar gaya ho jaise

Image
Chara gar haar gaya ho jaise ab to marna hi dawa ho jaise mujh se bichra tha woh pehle bhi magar, ab ke ye zakham naya ho jaise mere mathay pe tere pyar ka haath, rooh par dast-e-sabba ho jaise yoo'n bohat hans ke mila tha lekin, dil hi dil mein wo khaffa ho jaise sar chhupayen to badan khulta hai, zeest muflis ki rida ho jaise "Parveen shakir" Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

Mohabbat Kam Nahi Ho Gi

Image
Meri aankhin salamat hain, mera dil mere seenay mein dharkta hai mujhay mehsoos hota hai mohabbat kam nahi hogi mohabbat ek wada hai jo sachai ki andekhi kisi saa'at mein hota hai kisi raahat mein hota hai ye wada shayri ban kar mere jazbo'n mein dhalta hai mujhay mehsoos hota hai mohabbat kam nahi hogi mohabbat ek mosam hai ke jis mein khwab ugtay hain, to khwabo'n ki hari shakhen gulabo'n ko bulati hain inhen khushboo banati hain ye khushboo jab humari khirkiyon mein, dastaken de kar guzarti hai mujhay mehsoos hota hai mohabbat kam nahi hogi "Urdu poem" urdu poetry_Poetry of, urdu nazm Urdu Poetry Collection

Aetbaar mat karna

Image
Ye jhuki jhuki si aankhen ye ruka ruka sa lehja lab pey baar baar aa ke tootta hua fiqra gard mein ati palken dhoop se tappa chehra sar jhukaye aaya hai ik umar ka bhoola dil hazaar kehta hai haath tham lu'n uska choom lu'n ye peshani lotnay na du'n tanha koi dil se kehta hai sare harf jhoote hain aetbaar mat karna aetbaar mat karna "Urdu Poem" urdu poetry_Poetry of,  urdu poem Urdu Poetry Collection

Kalyon Ki Mehak Hota Taron ki Ziaa Hota

Image
Kalyon ki mehak hota taron ki ziaa hota mein bhi tere gulshan ke phoolon ka khuda hota, har cheez zamane ki, aaeyna-e-dil hoti, khamosh mohabbat ka itna to silla hota, tum haal-e-paresha'n ki pursish ke liye aate, seharaiy tamana mein mela sa laga hota, har gaam pe kam aate zulfo'n ki teri saye, ye qaflaye hasti be rahnuma hota, ehsaas ki dali par ik phool mehekta hai, zulfo'n ke liye tumne ik roz chuna hota, "Saghar siddiqui"  urdu Poetry_Poetry of, saghar siddiqui Urdu Poetry Collection

Mujhe Pagal Kar do

Image
Aag lehra kar chali hai, usay sandal kar do tum mujhe raat ka, jalta hua jangal kar do chand sa misra akela hai mere kagaz par chhat pe ajao mera sher mukamal kar do mein tumhen dil ki siyasat ka hunar deta hu'n ab ussay dhoop bana do mujhe pagal kar do apne aangan ki udasi se zara baat karo neem ke sookhe hue per ko sandal kar do tum mujhe chhor ke jao ge to mar jaonga, yoo'n karo jane se pehle 'mujhe pagal kar do' "Bashir badr urdu poetry" Bashir badr Urdu Poetry in urdu

Woh nahi aaye lab E baam

Image
Woh nahi aaye lab-e-baam' chalo yonhi sahi aaj so jayen sar-e-shaam chalo yonhi sahi, ishq ne hum se shanasai ki zehmat ki hai, ab kahan raat ka aaram chalo yonhi sahi, tujh ko seenay se lagay hue kuvh din ji len, aa ae hasrat-e-nakam chalo yonhi sahi, humsafar rah mein sab chor gaye hain tanha, saath hai gardish-e-ayyam chalo yonhi sahi koochaye yaar mein hum dhoondnay nikle khushyan, mil gaye hain gham-o-aalam chalo yonhi sahi, nek nami kahin ishaaq ko milti hai gayyas, ho gaye pyar mein badnam chalo yonhi sahi "Best Urdu poetry" Best Urdu Poetry