Posts

Showing posts from June, 2013

Kabhi Aansoo Kabhi Khushi Bechi

Image
Kabhi 'Aansoo Kabhi Khushi Bechi' Hum Gareebo'n ne bekasi Bechi Chand Saansen khareedne k liye Roz thori si zindagi Bechi Jab rulane lage mujhe saaye Mein ne ukta ke roshni Bechi Ik hum thay ke bik gaye khud hi wagarna dunya ne dosti Bechi "Aansoo poetry in urdu" Aansoo urdu poetry

Mohabbat Humsafar Meri

Image
Yeh Lamhon Ki Nahi Hai Sadyon Ki Musafat Hai Kisi Ki Yaad Ka Sehra 'Mohabbat Humsafar Meri' Wahi Har Waqt Sochon Par Kisi Ki Yaad Ka Pehra Wahi Din Raat Ka Jalna Mohabbat Humsafar Meri "Yaad Urdu poetry" Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

Koi Malal Koi Arzoo Nahi Karta

Image
'Koi Malal Koi Arzoo Nahi Karta' Tumhare Bad Ye Dil Guftagoo Nahi Karta Koi Na Koi Meri Cheez Toot Jati Hai Tumhari Yaad Say Jaab Bhi Wazoo Nahi Karta "Yaad urdu poetry" Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

Tum woh nahi rahe

Image
Aati hai chahato'n ki kahani pe ab hansi Tum se bichar k soch k rukh bhi badal gaye Ab tum ko dekh kar bhi dharakta nahi hai dil Tum woh nahi rahe k mere dukh badal gaye "Dard poetry in urdu" Urdu Poetry Dard

Darya mein qatre ki soorat

Image
Amjad islam amjad shayari Darya mein qatre ki soorat ' Gum ho jaun Apne Aap se bahir niklun Tum ho jaun_ _ _ ! "Amjad islam amjad"

Tu jo hum se door

Image
Hum be-chain naseebon wale Kaisi kaisi khalish  ke haathon Hote hain majboor Tu jo hum se door ve saanwal Tu jo hum se door "Farhat abbas shah" Farhat abbas shah Urdu Poetry

Uski aankhon mein

Image
Aaj bhi 'uski Aankhon mein' raaz wahi tha Chehra wahi tha Chehre ka libas wahi tha Kaise usko be-wafa keh du'n yaron Aaj bhi us ke dekhne ka andaz wahi tha "aankhen urdu poetry" Aankhain urdu poetry

Tumne Kaisa ye rabta rakha

Image
Tumne Kaisa ye rabta rakha Na mile ho na fasla rakha Nahi chaha kisi ko tere siwa Tu ne humko bhi parsa rakha Phool khilte hi khul gai Aankhen Kisne khushboo mein saniha rakha Tu na ruswa ho is liye humne Apni chahat pe daera rakha Jhoot bola to umer bhar bola Tum ne is mein bhi zaabta rakha Koi dekhe ye saadgi apni Phool yaado'n ka ek sajja rakha Saad uljha raha magar uss ne Tujh se milne ka raasta rakha "Saadullah shah shayari" Saadullah Shah poetry Urdu Poetry Collection

Unhain Eid Mubarak

Image
Gero'n Mein Hain Jo Shad Unhain Eid Mubarak Jinko Nahi Hum Yaad Unhain Eid Mubarak Masoom Se Armano'n Ki Masoom Si Dunya Jo kar gaye barbaad 'unhain eid mubarak' "Eid poetry in urdu" Best eid poetry in urdu

Shaam ke utarte hi

Image
Shaam ke utarte hi Tujh ko Dhoondta hu'n mein Toot'ta badan le kar ..! "Shaam poetry" shaam poetry

Aankhon Mein Koi Khawab Utarne Nahi Deta

Image
Aankhon Mein Koi Khawab' Utarne Nahi Deta Ye Dil K Mujhe Chain Se Marne Nahi Deta Bichray To Ajab Pyar Jatata Hai Khaton Mein Mil Jaye Tou Phir Had Se Guzarne Nahi Deta Wo Shakhs Khizan Rut Mein Bhi Mohtaat hai Kitna Sokhay Huwe Phoolon Ko Bikharne Nahi Deta Ik Roz Teri Pyaas Khariday Ga Wo Ghabro ! Pani Tujhe Panghat Se Jo Bharne Nahi Deta Wo Dil Mein Tabassam Ki Kiran Gholne Wala Roothay To Ruton Ko Bhi Sanwarne Nahi Deta Mein Us Ko Manaon K Gham-e-Dehar Se Uljhon ? "Mohsin naqvi poetry" Urdu Poetry By mohsin naqvi

Ab Jo Milna Hi Nahi Hai

Image
Rabta Toot Chuka Hai To Sadae'n Kaisi Ab Jo Milna Hi Nahi Hai' To Wafaen Kaisi Chand Yaaden Aur Aansoo Hain Wo Wapas Lelo Agar Koi Jurm Nahi Hai To Sazae'n Kaisi "Aansoo urdu poetry" aansoo urdu poetry pics

Bichar jayen to behtar hai

Image
Woh Mera Ho Bhi Sakta Hai Mein Usko Paa Bhi Sakta Hu'n Magar Woh Itna Sada Hai Mujhe Apna Bhi Kehta Hai Magar Phir Bhool Kar Sab Kuch Woh Kehta Hai ! Bichar Jayen To Behtar Hai "Urdu Poem" Urdu Nazam Urdu Poetry Collection

Meri bhegi bhegi Palkein

Image
Meri bhegi bhegi Palkein' ! Surkh surkh roti hui Matoram aankhen Yeh wazey na kar de'n ke Tu ne mujhe jo dukh diye Woh aansoo ban kar tujh par Mere is jazbay ko ayyan na kar den Ke mein ne tujhe Toot kar chaha tha...! "Aansoo urdu poetry" Urdu poetry aansoo

Be-His Hain Yahan Log

Image
Be-His Hain Yahan Log Bhala Soch Ke Karna Is Dor Main Logon Se Wafa Soch Ke Karna Gul Shakh Se Bichrey To Kahin Ka Nahi Rehta Tum Zaat Meri Khud Se Juda Soch Ke Karna "Wafa poetry" urdu wafa poetry

Alam-e-mohabat mein

Image
Alam-e-Mohabat Mein, Ik kamal vehshat mein Be-sabab rifaqat mein Dukh Uthana parta hai Titliyan pakarne ko Door jana parta hai }Noshi gilani shayari} Urdu Poetry of noshi gilani