Posts

Showing posts from October, 2012

Hoti Hai Tere Naam Se Wehshat Kabhi Kabhi

Image
Hoti hai tere naam se wehshat kabhi kabhi' barham hui hai yu'n bhi, tabiyat kabhi kabhi ey dil kise naseeb ye taufeeq-e-iztiraab milti hai zindagi main ye rahat kabhi kabhi tere karam se ae alam-e-husan-e-afree'n dil ban gaya hai dost ki khilwat kabhi kabhi josh-e-junoo'n mein dard ki tugyanio'n ke saath ashko'n mein dhul gai teri surat kabhi kabhi tere qareeb reh ke bhi dil mutmain na tha guzri hai mujhe pe ye bhi qayamat kabhi kabhi kuchh apna hosh tha na kuchh tumhara khayal tha yoo'n bhi guzar gai shab-e-furqat kabhi kabhi ae dost humne tark-e-mohabbat ke bawajood mehsoos ki hai teri zaroorat kabhi kabhi "Nasir kazmi poetry" Nasir kazmi poetry in urdu

Yunhi be sabab na phira karo

Image
Yunhi be sabab na phira karo' koi sham,ghar bhi raha karo woh ghazal ki sacchi kitab hai, usse chupke chupke parha karo Koi haath bhi na milaega, jo gale milo ge tapaak se ye naye mizaj ka sheher hai zara faslay se mila karo abhi raah mein kai mor hain koi ayega koi jaeyga tumhen jis kisi ne bhula dya usse bhoolne ki dua karo mujhe ishtehar si lagti hain ye mohabbato'n ki kahaniyan jo kaha nahi wo suna karo jo suna nahi wo kaha karo kabhi husan parda nashee'n bhi ho zara aashqana libas mein mein jo bun sanwar ke kahin chalu mere saath tum bhi chala karo nahi be hijaab wo chand sa ke nazar ka koi asar na ho usse itni garmiye shoq se badi der tak na taka karo "Bashir badr poetry" Bashir badr shayari

Duniya meri aabad hai

Image
Duniya Meri Aabad Hai Jis Rahat E Jaan Se Deta hu duaein usse dhaRkan ki zuban se herat se wafaein mera mun dekh rahi hain sheeshe ka khareedar hu pathar ki dukan se "Qateel Shifai Poetry" Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

Koi mujhko mera bharpoor sarapa la de

Image
Koi Mujhko Mera Bharpoor Sarapa La De Mere bazu meri aankhen mera chehra la De "Noshi Gilani Poetry" noshi gilani urdu shayari

Jab aankh mein shaam utray

Image
Jab aankh mein shaam utray palkon pe shafaq phoolay kajal ki tarah meri aankhon ko dhanak chhoo le uss waqt koi usko aankhon se meri dekhey palkon se meri choome "Parveen shakir" Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

Meri aankhon ko soojhta hi nahi

Image
Meri Aankhon Ko Soojhta Hi Nahi Ya muqadar mein raasta hi nahi...... wo bhare sheher mein kisi se bhi mere bare mein poochta hi nahi "Noshi Gilani Poetry" Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poem

Aankhon Mein Raha Dil Mein Utar Kar

Image
Aankhon mein raha dil mein utar kar nahi dekha' Kashti ke musafir ne samandar nahi dekha be waqt agar jaonga sab chonk paRey ge ik umer hui din mein kabhi ghar nahi dekha "Bashir badr urdu Poetry" Bashir badr poetry in urdu

Kaise Kaise Khawaab Dekhe

Image
Kaise kaise khawab dekhe dar badar kaise hue Kya bataein roz-o-shab apne basar kaise hue un hawaon ko ridaey baadban kaise mili ye sitare aabnaey chasm-o-tar kaise hue "Rasa Chughtai Poetry" Urdu Poetry of rasa chughtai

Wo Bulayen To Kya Tamasha Ho

Image
Wo Bulayen To kya tamasha ho Hum na jayen to kya tamasha ho Ye kinaron se khelne wale Dub jayen to kya tamasha ho "Saghar Siddiqui Poetry" Urdu Poetry_Saghar Siddiqui Urdu Poetry Collection

Aankhen Bheeg Gai

Image
Jab bhi rut gudrai musam bheega aankhen bheeg gai' jab bhi chand zara aangan par Thehra aankhen bheeg gai tez hawa jab humko pagal keh kar paas se guzri to humne uski baat pe hansna chaha aankhen bheeg gai "Farhat abbas shah urdu Poetry" Urdu Poetry by Farhat abbas shah

Aaj Ki Shaam Sametay Hue

Image
Aaj ki shaam sametay hue'gumgushta naqosh zeenz zeenz mere seene mein utar aaei hai Musam-e-habs hai aisa k mayasar ab to shorash-e-halqae ahbaab na tanhaei hai khud mein simTun to bikharne ki khalish Dasti hai Khud se bahir bhi na shuhrat hai na tanhaei hai "Mohsin Naqvi urdu poetry" urdu poetry of Mohsin naqvi

Karwaten Dard Badalta Hai

Image
Karwaten dard badalta hai pasey lamhae shoq AahaTen damane aagaz mein anjam ki hain mere chehre pe dahakte hain rukhe dahar k rang mere mathey pe kharashen gham-e-ayyam ki hain "Mohsin naqvi shayari" Mohsin naqvi urdu shayari

Qasam To Kha Li Hai Tum Ne

Image
Qasam to kha li hai tumne' mujhe kabhi na yaad karne ki magar mein janta hu tum mujhe kabhi na bhula sako gi din bhar hanste khelnay rehnay mein shayad meri yaad na aye tumhen ! magar suno---! subah jab aankh khulay tumhari to takiye par phelay hue apne kajal ko chhupa liya karna ke koi jan na sake tum raat der tak roti rahi ho meri yaad mein !! "Urdu Poetry" Best Poetry In Urdu 

Gurez shab se sahar se kalam rakhte thay

Image
Gurez shab se sahar se kalam rkhte thay, Kabhi wo din thay k zulfo mein shaam rakhte thay Tumhare haath lage hain to jo karo so karo wagarna tumse to hum so gulam rakhte thay "Noshi gilani poetry" Urdu Poetry of noshi gilani

Shamma Is Rah Pe Jali Hai Abhi

Image
Shamma is rah pe Jali hai Abhi' Ranj ki shab kahan dhali hai abhi Gul khilte hain tumhari Aahat se Aankh mahtab ne mali hai abhi "Saghar Siddiqui Poetry" Urdu Poetry _ Saghar Siddiqui Urdu Poetry Collection

Poocha Kisi Ne Haal Kisi Ka

Image
Poocha Kisi Ne Haal Kisi Ka to ro diye Pani mein aks chand ka dekha to ro diye Naghma kisi ne saaz pe cheRa to ro diye Guncha kisi ne shakh se ToRa to ro diye "Saghar Siddiqui Poetry" Urdu Poetry_Saghar Siddiqui Urdu Poetry Collection

Mein Bhi Kitna Pagal Hoo Na

Image
'Main bhi kitna pagal hoo na' jab bhi raat ko ghar aata hoon apne darwaze pe dastak dete Lamhe aksar meri soch ye mujh se kehti hai aaj tu darwaza khole gi mujh ko dekh ke muskae gi mera matha choome gi sharmaye gi _ _ _ ! ghar main dakhil ho kar main bhi koi shararat kar donga tu khud main simat kar reh jaye gi main bhi kitna pagal hoo na kya kya socha karta hoon main bhi kitna pagal hoo na !!! "Wasi shah poetry" Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

Dasht-o-Darya Se Guzarna Ho Ke

Image
Dasht o darya se guzarna ho ke ghar mein rehna ab to har haal mein hai, hum ko safar mein rehna dil ko har pal kisi jadoo ke asar main rehn khud se nikle to kisi aur ke dar mein rehna sheher-e-gham dekh teri aab-o-hawa khushk na ho raas aata hai usse deedai-e-tar mein rehna feslay sare usi ke hain humari baabat ikhtiyaar apna bus itna ke khabar mein rehna koi khatir na madarat na taqreeb wasaal hum to bus chahte hain teri nazar mein rehna raat bhar chand mein dekha karen surat teri subah ko aur hi soda mere sar mein rehna mein to har chehray mein ab tak wahi chehra dekhu'n usko har roz tamasha-y-dagar mein rehna wahi tanhai wahi dhoop wahi be sitmi ghar mein rehna bhi hua rah guzar mein rehna tootna yoo'n to muqadar hai magar kuchh lamhay phool ki tarah mayyasar ho shajar mein rehna "Parveen shakir" Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

Muddat Se Dil o Jaan Main

Image
Muddat se dil o jaan main' ajab shor bappa hai ik shakhs juda ho ke bhi, yaado'n main basa hai sadyon se mera ishq jisse dhoond raha hai herat hai wahi shakhs mere saath khara hai jo aankh milane ki ijazat nahi deta dil usko nigaho'n mein basane ko tulla hai jo apne hi halaat ko suljha na saka wo bigrai hui taqdeer banane ko chala hai saye mein shajar ke na kabhi mujh se mila wo ab dhoop mein dekho to mere saath khara hai dastak si dar-e-dil pe dia karta tha aksar aaj apne hi andar wo kahin ja ke chhupa hai jis shakhs ko kehtay they sharafat ka namoona wo aaj mere samne faqo'n se mara hai "Best Urdu Poetry" Best Urdu Poetry

Dayar-e-Noor Mein Teera Shabon Ka Saathi Ho

Image
'Dayar-e-noor mein teera shabon ka saathi ho' Koi to ho jo meri vehshaton ka saathi ho Mein uss se jhut bhi bolu to mujhse sach bole Mere mizaj ke sab mausamo ka saathi ho "Iftikhar arif urdu poetry" Ifthikhar arif shayari in urdu

Thien Ajeeb Rang Ki Saatain

Image
Thien ajeeb rang ki sa'atain jo basar hui tere pyar mein Kabhi be-saharon k zel mein kabhi dushmano ki qatar mein "Farhat abbas shah urdu poetry" Farhat abbas shah Urdu Poetry