Posts

Showing posts from January, 2014

khushboo ki tarah urtey chale jate hain

Image
khushboo ki tarah urtey chale jate hain khushboo ki tarah urtey chale jate hain armaan Mehsoos   to   hote hain   dikhai    nahi     dete "2line urdu shayari" 2 line urdu poetry pics

Ana ke khel mein hum

Image
Ana ke khel mein hum Ana ke khel mein hum jeet to gaye lekin Phir uske baad bohat der tak nidhal rahe "2line sad poetry" 2 line urdu poetry 

Tu mere paas na thi phir bhi

Image
Tu mere paas na thi phir bhi sahar hone tak Tera har saans mere jism ko chu kar guzra Qatra Qatra tere deedar ki shabnam Tapki Lamha lamha teri khushboo se muatar guzra "Yaad urdu poetry"

Wo Aksar Mujhse Kehti Thi

Image
Wo Aksar Mujhse Kehti Thi Wafa hai zaat aurat ki Magar Jo Mard Hote Hain Bohat Be-Dard Hote Hain Kisi Bhanwre Ki Surat Gul Ki Khushboo Loot Lete Hain Suno Tum Ko Qasam Meri..! Riwaayat Tor Dena Tum Na Tanha Chhor Dena Tum Na Ye Dil Tor Ke Jana… Magar Phir Yun Hua Hamdam ! Mujhe Anjaan Raste Par Akela Chhor Kar Usne Mera DiL Tor Kar Usne Muhabbat Chhor Di Usne Wafa hai zaat aurat ki Riwaayat Tor Di UsNe. "Wafa Poetry" Urdu Poetry - Urdu Shayri  - Urdu Poems

Mohabbat sawan nahi jo

Image
Mohabbat sawan nahi jo Toot kar barse aur tham jaye mohabbat aag nahi , sulgey bharke aur bujh jaye mohabbat aaftab nahi, ubhrey chamke aur Dhal jaye mohabbat to chand ki manind hai ! Barhta hai,ghaTta hai,niklta hai,chhupta hai magar kabhi fana nahi hota ...!! "Mosam poetry-poems" Musam urdu shayari

Tumhein kis ne kaha tha

Image
Tumhein kisne kaha tha ek anjane safar mein ajnabi raha ro ke humrah door tak jao aur itni door tak jao k wo rasta badal jaye Tumhein kisne kaha tha---! "Urdu poems" Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

Ye Barishon Ke Mausam

Ye Barishon Ke Mausam Bas Tum Hi Se Hain Wabasta K Mohabbaton Mein Barish Bari Lazmi Si Shey Hai Chahey Aasman Se Barsey Chahey Chashm-e-Nam Se "Barish Urdu Poetry"     بارشوں کے موسم   یہ بارشوں کے موسم بس تم ہی سے ہیں وابستہ کہ محبتوں میں بارش بڑی لازمی سی شے ہے چاہے آسماں سے برسے چاہے چشمِ نم سے ۔۔۔۔ (بارش اردو شاعری)

Ek barish thi jo saath roti rahi

Meri mohabbat B-zubaan hoti rahi Dil ki dharkan apna wajud khoti rahi Koi nahi aaya mere dukh ke qareeb Ek barish hi thi jo saath roti rahi "Barsaat Urdu Poetry" میری محبت بے زبان ہوتی رہی دل کی دھڑکن اپنا وجود کھوتی رہی کوئی نہیں آیا میرے دکھ کے قریب ایک بارش ہی تھی جو ساتھ روتی رہی برسات-بارش-شاعری

Tujhe kaise bhulata mein

Tujhe mein bhool to jata magar tere taaluq se jo chehre samne aaye jo rishtey samne aaye jo lamhey samne aaye unhain kaise bhulata mein tujhe kaise bhulata mein "urdu poem-shayari" تجھے میں بھول تو جاتا مگر تیرے تعلق سے جو چہرے سامنے آئے جو رشتے سامنے آئے جو لمحے سامنے آئے اُنہیں کیسے بھلاتا میں تجھے کیسے بھلاتا میں اردو شاعری-نظم