Posts

Showing posts from September, 2012

Guzar Gaya Jo Zamana Usay Bhula Hi Do

Image
Guzar gaya jo zamana usay bhula hi do' jo naqsh ban nahi sakta usay mita hi do khule ga terk-e-taalluq ke baad baab-e-fana yeh ek aakhri parda bhi ab utha hi do ruki ruki si hawa hai thaka thaka hai chand wafa ke dusht main hairan khare hain raahi do guzar raha hai jo lamha usay ammar kar len main apne khoon se likhta hoon tum gawahi do kisi tarah se taghafful ka baab-e-shaq to khule nahi main piyar ke qabil to kuch saza hi do mein kaeynaat ko tum se nijaat de du'n ga meri giraft mein ik din agar tabahi do "Amjad islam amjad poetry" amjad islam amjad shayari

Kisi Ki Yaad Mein Palken Zara Bhigo Lete

Image
Kisi ki yaad mein'palken zara bhigo lete Udaas raat ki tanhaio mein ro lete Dukhon ka bojh akele nahi sanbhalta hai Kahin wo milta to uss se lipaT ke ro lete "Bashir badr Poetry in urdu" Bashir badr Urdu Poetry

Kabhi hum bheegtay hain

Image
Kabhi hum bheegtay hain chahton ki tez baarish main Kabh barson nahi milte kisi halki si ranjish mein "Noshi Gilani Poetry" noshi gilani urdu shayari

Mila khushboo ko gul ka rasta

Image
Mila khushboo ko gul ka rasta ahista ahista bani uski rifaqat ki fiza ahista ahista ye khamoshi to mere dil ki deewaren hila de gi mohabbat ho na ho par lab hila ahista ahista achanak shakh-e-dil teri kahi,n veera'n na ho jaye parinde apni yaado'n ke ura ahista ahista ye socha tha ke zakhm-e-dil badan main phel jaye ga magar tu ne madawa kar dya ahista ahista achanak samne pa kar kahi'n sansen na ruk jaye meri aankhon se haath apne hatta ahista ahista bas ik tere khayal-o-khwab ka jugnoo tha wo bhi meri aankhon se ojhal ho gaya ahista ahista meri aankhon ki barish tham gai tab asmano'n par teri chahat ka hala ban gaya ahista ahista "Noshi gilani poetry" Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

Basti Basti Ghumne Wale Peeton Ke Banjare

Image
'Basti basti ghumne wale peeton ke banjare' roop nagar ki abla gori, aye sheher tumhare kia jane kia mangen chahen, janam janam ke lo bhi hum se peet karogi gori hum se peet karogi baal ansheri raat ke badal, gaal chatakte gesoo hont tumhare norus kalyaa'n nen tumhare jadoo inki dhoop ujala man ka in ki chhao'n ghaneri hum se peet karogi gori hum se peet karogi "Ibn-e-Insha poetry" Urdu Poetry by ibn-e-insha

Sawan Bhadon Sath Hi Din Hain

Image
'Sawan bhado'n sath hi din hain'phir woh rut ki baat kahan apne ashq musalsal barse, spni si barsaat kahan chand ne kia kia manzil karli,nikla chamka doob gaya hum jo aankh jhapak len so len ae dil humko raat kahan peet ka karobar bohat hai ab to aur bhi phel chala aur jo kaam jaha'n ke dekhen fursat de'n haalat kahan qes ka naam suna hi ho ga hum se bhi mulaqat karo ishq-o-junoo'n ki manzil mushkil sab ki ye aoqat kahan "Ibn-e-Insha shayari" Ibn-e-insha poetry in urdu

Chirag e Rah Bujha Kar Ke

Image
Chirag-e-rah bujha kar ke rahnuma bhi gaya hawa ke saath, musafir ka naqshe pa bhi gaya main phool chunti rahi, aur mujhe khabar na hui wo shakhs aake mere sheher se chala bhi gaya bohat azeez sahi usko meri dildari magar ye hai ke kabhi dil mera dukha bhi gaya ab ud dareecho'n par gehray dubez parday hain wo taank jhaank ka masoom silsila bhi gaya sab aaye meri ayyadat ko wo bhi aaya tha jo sab gaye to mera dard-e-aashna bhi gaya ye gurbaten meri aankho'n mein kesi utri hain ke khwab bhi mere rukhsat hai ratjaga bhi gaya "Parveen shakir" Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aankh Main

Image
Kabhi yun bhi Aa meri aankh main'k meri nazar ko khabar na ho Mujhe ek raat nawaz de magar uske baad sahar na ho who bara raheem-o-kareem hai mujhe ye siffat bhi atta kare tujhe bhoolne ki dua karo'n to meri dua main asar na ho mere baazoun main thaki thaki abhi mehwe khwab hai chandni na uthay sitaro'n ki palki abhi aahato'n ka guzar na ho ye ghazal ke jese hiran ki aankh main pichli raat ki chandni na bhuje chirago'n ki roshni kabhi be-chiragh ye ghar na ho kabhi din ki dhoop ko jhoom ke kabhi shab ke phool ko choom  ke you'nhi saath saath chalen sada kabhi khatam apna safar na ho "Bashir badr poetry in urdu" Bashir badr Poetry in Urdu

Paas Rehta Hai Door Rehta Hai

Image
Paas rehta hai door rehta hai' koi dil main, zaroor rehta hai aese rehta hai wo mere dil main jese zulmat main noor rehta hai jab se,dekha hai teri aankhon ko halka halka suroor rehta hai ab adam ka ye haal hai har dum mut rehta hai choor rehta hai "sad Urdu Poetry" images of urdu poetry

Dil Ke Kehne Pe Jab Larey Tum Thay

Image
Dil ke kehne pe jab larey tum thay' phir zamane se kyun darray tum thay naqsh thay haath ki lakeero'n mein dastaras se magar parey tum thay hum ne jab raah ka inthakhab kya uske har mor par kharay tum thay kya tha jis mein ulajh gaya tha mein jane kis baat par array tum thay ek hi lamhae khamoshi mein had-e- awaz se parey tum thay "Amjad islam amjad poetry" amjad islam amjad poetry

Barhta Hai Teri Yaad Se Gham

Image
Barhta hai teri yaad se gham' aur zyada rotey hain kahin beth ke hum aur Zyada you'n chor ke jate na mujhe be saro-samaa'n kar lete meri jaa'n ye sitam aur zyada is dil pe abhi aable parne hain bohat se ye matti abhi honi hai nam aur zyada bekar guzar jati hai mamooli si mohlat hum sochte reh jate hain kam aur zyada achha hai ke chup chup ke sisakte raho warna khul jaye ga logo'n pe bharam aur zyada "Farhat abbas shah" Farhat abbas shah shayari

Raston Pe Ja Nikle

Image
Banne banae huwe raston pe ja nikle' ye hamsafar mere kitne gurez paa nikle chale thay aur kisi raste ki dhun main magar hum itafaq se teri gall main Aa nikle gham-e-firaq main kuch der ro hi lene do bukhar kuch to dil-e-beqarar ka nikle naseehaten humen karte hain tark-e-ulfat ki ye kher khwah humare kidhar se Aa nikle ye khamshi to rag-o-pe main ruch gai nasir wo naala kar ke dil-e-sang se sadda nikle "Nasir kazmi poetry" Poetry of nasir kazmi

Sahab tha ke sitara

Image
Sahab tha ke sitaara gurez paa hi laga wo apni zaat ke har rang mein juda hi laga mein aese shakhs ki masoomiat pe kya likhu'n jo mujhko apni khatao'n mein bhi bhala hi laga zubaa'n se chup hai magar aankh baat karti hai nazar uthai hai jab bhi to bolta hi laga jo khwab dene par qadir tha meri nazro'n mein azaab dete hue bhi mujhe khuda hi laga na mere lutf par heraa'n na apni uljhan par mujhe ye shakhs to har shakhs se juda hi laga "Parveen shakir shayari" Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

Bhanwar Ki God Main Jaisay Kinara

Image
'Bhanwar ki god main jaisay kinara'saath rehta hai kuch aisay hi tumhara aur humara saath rehta hai mohabbat ho ke nafrat ho, ussi se mashwara hoga meri har kefiat mein istakhara saath rehta hai safar mein aen mumkin hai mein khud ko chor du'n lekin duaen karne walo'n ka sahara saath rehta hai mere mola ne mujhko chahato'n ki saltanat de di magar pehli mohabbat ka khasara saath rehta hai agar sayad mere lab par mohabbat hi mohabbat hai to phir ye kis liye nafrat ka dhara saath rehta hai "Wasi shah shayari" Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

Chehre Pe Mere Zulf Ko Phelao Kisi Din

Image
Chehre pe mere zulff ko phelao' kisi din kia roz garajte ho, baras jao kisi din raazon ki Tarah utro mere dil mein kisi shab dastak pe mere haath ki khul jao kisi din pero'n ki tarah husan ki barish mein naha lu'n badal ki tarah jhoom ke ghir aao kisi din khushboo ki tarah guzro mere dil ki galli se phoolo'n ki tarah mujh pe bikhar jao kisi din phir haath ko kherat mile bad quba ki phir lutf-e-shab-e-wasal ko duhrao kisi din guzre jo mere ghar se to ruk jayen sitare is tarah meri raat ko chamkao kisi din "Amjad islam amjad shayari" amjad islam amjad shayri

Hijar Ko Dhoond Ke Lana Hai Abhi

Image
Hijar ko dhoond ke lana hai abhi' aur ik hashar uthana hai abhi ye wahi dil hai tumhare wala ye wahi shehar purana hai abhi ye jo mojood zamana hai abhi teri yaado'n ka nishana hai abhi ik zara thehro mere hum nafso bus abhi deep bujhana hai abhi mere daman mein tere dard ke baad ek se ek khazana hai abhi is tere ishq mein mar jane ka ik chiragh aur jalana hai abhi mujh ko maloom hai mere mola mein ne is dunya se jana hai abhi "Farhat abbas shah" Urdu Poetry of fahat abbas shah

Gulabi phool dil main khil chuke they

Image
Gulabi phool dil main khil chuke they hum is mousam main, tujh se mil chuke thay tawajja se teri phir khil rahe hain wagarna zakhm to ye sil chuke they satu'n kitna sahara in ko dete jo ghar bunyaad se hi hil chuke they purani ajnabiyat phir lot ayi hum unse aur wo hum se mil chuke they taro taaza thi jaa'n rah-e-junoo'n mein agarche pao'n apne chhil chuke they "Parveen shakir poetry" Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

Phir ek baar tujhi se sawal karna hai

Image
Phir ek baar tujhe se sawal karna hai nigah main tera mansab, bahaal karna hai lahoo se seench dia aur phir ye tay paaya isi gulab ko ab payemal karna hai us ek marham-e-no roz-o-lamse taaza se purane zakhmo'n ka bhi indamal karna hai ye gham hai aur mila hai kisi ke dar se humen so is shajar ki bohat dekh bhaal karna hai bhula ke wo humen heraa'n hai to kya ke abhi issi tarah ka humen bhi kamal karna hai "Parveen shakir" Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

Rakht E safar bhi bhool gaye

Image
Yeh kesa khauf  tha rakht-e-safar bhi bhool gaye woh kaun log thay jo apne ghar bhi bhool gaye ye kesi quwat-e-parwaz, dar ne peda ki, parinde urte hue apne par bhi bhool gaye dukho'n ne chheen li aankho'n ki sari beenai hum uska sheher kya rah-e-guzar bhi bhool gaye khayal tha ke sunaen ge haal-e-dil lekin hum uske samne arz-e-hunar bhi bhool gaye juda hue to khula hai tumhari basti mein hum ek dil hi nahi chashm-e-tar bhi bhool gaye "Noshi gilani shayari" Urdu Poetry by noshi gilani

Jurm E Inkaar Ki Saza Hi De

Image
Jurm-e-inkaar ki saza hi de' mere haq main bhi, kuch sunaa hi de shoq main hum nahi zyada talab jo tera naz-kam nigah hi de tu ne taro'n se shab ki mang bhari mujh ko ik ashk-e-subhgai de tu ne banjar zamee'n ko phool diye mujh ko ik zakhm-e-dil kusha hi de bastiyo'n ko diye hain tu ne chiragh dasht-e-dil ko bhi koi rahi de umar bhar ki nawa giri ka silla ae khuda koi hum nawa hi de zard ro hain waraq khayalo'n ke ae shab-e-hijar kuch siyahi de gar majal-e-sukhan nahi nasir lab-e-khamosh se gawahi de "Nasir kazmi poetry" Nasir kazmi shayari in urdu

Dukh aur sulagte hain

Image
Seene mein simat'te hain ashkon mein chamakte hain bheege hue mosam mein 'dukh aur sulagte hain' !! "Barish sad Poetry in urdu" Barsaat  Urdu Poetry

Barsat Ke Baad

Image
BaRh gai wehshaten mosam ki inayaat ke baad hum kabhi roye, kabhi hans pare 'barsat ke baad' itni mazbooti se weerane ke dar band kiye dil mein utri na koi zaat teri zaat ke baad "Barsat urdu Poetry" Barsaat urdu shayari poetry

Apni Har Ek Shaam

Image
'Apni Har Ek Shaam' har ik raat bech kar Ab Agaya hai jeena humen zaat bech kar Hum bhi hain kya ajab k kaRi dhoop k taley Sehra khareed laye hain barsat bech kar "Collection Of Barish Poetry" Barsaat poetry in urdu

Maza Barsat Ka Chaho

Image
Maza barsat ka chaho'to in Aankhon mein Aa beTho Wo baron mein barasti hai ye barson se Barasti hai "Barish Poetry in urdu" Barish poetry

Barish Ki Chah Main

Image
Barish hui to phoolon k tan chak ho gaye musam k haath bheeg kar safak ho gaye Badal ko kya khabar thi k barish ki chaah mein' kaise buland-o-bala shajar khaak ho gaye "Barish Urdu Poetry" Barsaat poetry in urdu

Dosti Ke Shab o Roz Kia Huwe

Image
Ae yaar 'Dosti Ke Shab o Roz Kia Huwe' Barsaat ki naddi thi ke chaRh kar utar gai "Barish Poetry" Barish poetry

Uska Pyar Aesa Tha

Image
Sulagti ret pe barish ki jaise boondh girey Dukhi dilon ke liye 'uska Pyar Aesa Tha' "Barsat Poetry in urdu" Barsaat poetry in urdu

Kari Hai Dhoop Bohat

Image
Kari hai dhoop bohat' rahe khaar khaar ke saath nikal pare hain magar, hum tumhare pyar ke saath likha hai toot hi jana agar muqadar mein to ye bhi tay hai ke toote gein hum waqar ke saath humara saath nahi saath baat lamho'n ki azal ka saath abad tak hai aetabaar ke saath na tor paye gi dunya ki koi rusm usay humara dard ka rishta hai aur pyar ke saath ae dil ye tay hai tujhe beqarar rehna hai kisay mila hai bhala dard-e-dil qarar ke saath jinhe azeez hai ab khudkashi ka zikar bohat khizaa'n bhi dil se lagate they jo bahaar ke saath "Farhat shahzad" Farhat shahzad urdu poetry

Ek rahe khayaal par tanha

Image
Ek Rahe Khayaal Par Tanha Mein idhar aur wo udhar tanha Sochtey hain wo kyon nahi hota Aa k sochain ye beTh kar tanha "Rasa Chughtai Poetry" Urdu Poetry of rasa chughtai

Peet Ke Rogi Sab Kuch Boojhe

Image
Peet k rogi sab kuch boojhe' sab kuch jane hote hain in logo ke aeenT na maro, kahan deewane hote hain "Ibn-e-Insha Urdu Poetry" Ibn e insha urdu poetry

Zindagi ke sarab bhi dekhun

Image
Zindagi Ke Sarab Bhi Dekhun Nend Aaye to khwab bhi dekhun Raat kaTu kisi kharabe mein Mune andhere gulab bhi dekhun "Rasa Chughtai Poetry" rasa chughtai poetry in urdu

Mujhe tumse mohabbat hai

Image
Mere sathi Meri ye rooh mere Jism se parwaz kar jaye To loT Aana, Meri be-hkwab rato k azabon par Sisakte sheher mein Tum bhi Zara si der ko rukna Mere Be-noor honTon ki duaon par Tum apni sard peshani ka pathar rakh k ro dena bas itni baat keh dena Mujhe tumse mohabbat hai !! "Noshi Gilani Poetry" Urdu Poetry of noshi gilani

Tujh Se Bichra To Kidhar Jaonga

Image
Tujh Se Bichra To Kidhar Jaonga' Mein to be-cheni se mar jaonga Mein to aise nahi jane wala Chand Dube ga to ghar jaonga "Farhat abbas shah poetry" Urdu Poetry by farhat abbas shah

Kabhi Kabhi To Tere Dukh Ke Zard Paton Ko

Image
Kabhi Kabhi To Tere Dukh k Zard paton ko' Saba ki god mein khushboo ne loriyan di hain Kabh kabhi to mujhe tune saans lene ko Khud apni saans ke resham ki Doriya di hain "poetry by mohsin naqvi" poetry of Mohsin naqvi