Posts

Showing posts from April, 2013

Barish tu na aya kar

Image
Barish tu na aya kar' Ke tere aane se Aur jane ke baad bhi Koi...! bohat der tak Udaas rehta hai "Barsat urdu poetry" Barsat urdu poetry

Har Shaam Teri Yaad Mein Jalta

Image
Har Shaam Teri Yaad Mein Jalta Huwa Dekhun Kab Tak Dil-E-Betaab Machalta Huwa Dekhun Aanchal Ki Tarah Tan Se Lipat Jaun Tere Aur Khud Ko Teri Zaat Mein Dhalta Huwa Dekhun "Barish urdu shayari" urdu poetry shaam

Koi Hamdard Na Tha

Image
Koi Hamdard Na Tha' Koi Bhi Dard Na Tha Phir Achanak Aik Hamdard Mila Aur Us Se Sab Dard Mila "Dard urdu poetry" Dard Urdu Poem

Jo Aana Chaho Hazar Raste

Image
Jo Aana Chaho Hazar Raste' Na Aana Chaho Uzar Hazaron Mizaaj Barham,Taveel Rasta Barsati Barish Kharab Mosam "Barsat urdu poetry" Barish poetry

Raaz-E-Dil aam Kar Gaye Aansoo

Image
Raaz-E-Dil aam Kar Gaye Aansoo GhaM Ko Badnaam Kar Gaye Aansoo Aaj Usne Bhi Haal Puchh Liya Aaj To Kaam Kar Gaye Aansoo Log Phoolon Ke Sath Pahuche The, Aur Hum Thaam Kar Gaye Aansoo, Hum Kisike Na They Magar Humko Aap Ke Naam Kar Gaye Aansoo Har Kisi Ne Lagaya Daam............ Gam Ko Nilaam Kar Gaye Aansoo Dhund Si Chha Gayi Hai Aankhon Mein Har Taraf Shaam Kar Gaye Aansoo Baat Mein Bhi Bahut Asar Tha Aur Kuch Kaam Kar Gaye Aansoo Shayri  to Sirf Shayri Thi.......... Usko Ilzaam Kar Gaye Aansoo "Aansoo urdu poetry" Aansoo poetry in urdu

Adhoora pyar mat karna

Image
chalo tum saath mat dena mujhay beshak bhula dena naye sapne saja lena naye rishtey bana lena bhula dena sabhi waadey sabhi qasmein sabhi naatey tumhein janan ijazat hai jo dil chahe wo sab karna magar ab tum kisi se bhi adhoora pyar mat karna "Urdu Nazam" urdu poetry_Urdu Nazam Urdu Poetry Collection

Har ek zakhm ka chehra gulab jaisa hai

Image
Har ek zakhm ka chehra gulab jaisa hai' magar ye jagta manzar bhi khwab jaisa hai ye talkh talkh sa lehja ye tez tez si baat mizaj-e-yaar ka aalam sharab jaisa hai mera sukhan bhi chaman dar chaman shufaq ki phuwaar tera badan bhi mehektay gulab jaisa hai bara taweel nehaayat haseen bohat mubham mera sawaal tumhare jawab jaisa hai tu zindagi ke haqaiq ki teh mein yu'n na utar ke is nadi ka bahao chanab jaisa hai teri nazar hi nahi harf-e-aashna warna har ek chehra yahaan pe kitaab jaisa hai chamak uthay to samandar bujhay to ret ki leher mere khayaal ka darya saraab jaisa hai tere qreeb bhi reh kar na paa sakoon tujhko tere khayaal ka jalwa habaab jaisa hai "Mohsin naqvi shayari" Mohsin naqvi urdu poetry

Juda to hona hi tha

Image
Aakhir kab tak mein tum, aur mohabbat Aag pani aur hawa ik hi ghar mein rehtay... "Urdu Nazam" urdu poetry_Urdu Nazam Urdu Poetry Collection

Chahaton ke mosam mein

Image
Chahaton ke mosam mein' Zakhm jo bhi lag jaye Umer bhar nahi silta Tumne sun liya hoga ! shehar ki hawaon se Wo jo ik dewana sa Atay jatay rahi ko, Raston mein milta tha, Ab kahin nahi milta... "Mosam poetry in urdu" Musam poetry in urdu

Shaam Ke Saye Jo

Image
Shaam K Saye Jo Sooraj Ko Chupane Niklay Hum Diye Le Kar Andheron Ko Jalaney Niklay Aur Tou Kon Tha jo Jurm-e-Baghawat Karta Ek Hum Hi Thay Jo Yeh Rasm Nibhane Niklay Shehar Mein,Dasht Mein,Sehra Mein Bi Tujhko Paya A Gham-E-Yaar Tere Kitne Thikane Niklay Chaand Nikla To Mein,Logon Se Lipat Kar Roya Gham K Aansoo Thay, Jo Khushyon K Bahane Niklay "Shaam poetry in urdu: shaam poetry in urdu

Uski aankhon mein mere aansoo

Image
Uski hatheli mein mere aansoo' kitne ache lagte hain jaise subah sawere kanwal ki pankhriyan shabnam se jagmag karti hon moti jesi shabnam... phool ki aankhon mein ja kar heeray ki kanni ban jati hai qatra qatra dil kaT'ta hai khushboo dheere dheere tan mein phelti hai shabnam phool ke rang mein akhir rang jati hai nanhay nanhay charagho'n ki low barhti hai to uska chehra aur roshan lagne lagta hai Uski aankhon mein mere aansoo kitne ache lagte hain ...!! "Aansoo urdu shayari" Aansoo poetry in urdu

Shaam-e-dard aksar

Image
Issi khayaal mein guzri hai shaam-e-dard aksar' ke dard had se barhey ga to muskara du'n ga tu aasman ki surat hai gir parey ga kabhi zameen mein bhi magar tujh ko aasra du'n ga "Dard urdu poetry" Dard Urdu Shayri

tum apni aankhon se

Image
Mein janta hu'n ke ab chhato'n par diyey jalane ki rasam baqi nahi rahi hai magar tumhen meri yaad aaye to yaad rakho 'tum apni aankhon se' aansoowon ke chamakte moti na girne dena bas itna karna ke apni chhat par meri mohabbat ki nazam ga kar meri rafaqat ko yaad kar ke diya jalana ! tum apni chhat par kisi bhi kone mein beth kar ek diya jalana....!! "Diya poetry in urdu" Diya Urdu Poetry