Faraz ab koi soda koi junoon bhi nahi

Faraz ab koi soda koi junoon bhi nahi'
magar qaraar se din kat rahen ho'n you'n bhi nahi

lab-o-dahan bhi mila guftagoo ka fun bhi mila
magar jo dil pe guzarti hai ke sukoon bhi nahi

na jane kyon meri aankhen barasne lagti hain
jo sach kahoon to kuch aesa udaas hoon bhi nahi

meri zubaan ki laknat se badgumaa'na ho
jo tu kahe to tujhe umer bhar miloon bhi nahi

dako'n ke dher lage hain ke log bethey hain
isi dayaar ka mein bhi hoon aur hoon bhi nahi

"faraz" jesey diya qurbate hawa chahe
wo paas aaye to mumkin hai mein rahoon bhi nahi
"ahmed faraz shayari"
ahmed faraz Urdu Poetry
Faraz urdu shayari

Comments

Popular posts from this blog

kachi umar ke khwab