Badan Mein Lagi Hai Aag

Do ghoont kia piyey ke 'badan mein lagi hai aag'
saqi sharab hai ke, sabo mein bhari hai Aag

taqdeer hans rahi hai ke, mein sokhta naseeb
jangal mein a gayya hu'n jo ghar mein lagi hai aag

jo dhoondte thay aag unhen peghambari mili
>hum ko payyambari ki talab thi mili hai aag

ab baag-o-bagbaa'n se koi kya gilla kare
ab ke to range gul se chaman mein lagi hai aag

jaana'n hum aehl-e-dil ki tar chashmagi na dekh
daama'n ko door kar ke dilo'n mein lagi hai aag

mehfil ko kya khabar jo humare dilo'n mein hai
kab shamma sa'n humare saro'n par dhari hai aag

aatish bajja'n hain kab se mohabbat mein hum faraz
ik baar jab lagi hai to phir kab bhuji hai aag
"ahmad faraz shayari in urdu"
ahmed faraz sad Urdu Poetry
Urdu poetry by ahmed faraz

Comments

Popular posts from this blog

kachi umar ke khwab