Uski Nawazishon Ne To Heran Kar Diya

Uski nawazishon ne to heran kar diya
mein maizban tha, mujhe mehman kar diya

ik no-bahare-naz keh halke say lams ne
mere to sare jism ko, guldan kar diya

kal ik  nigar-e-sheher ne ba lutf-e-khaas
mujh se faqeer ko bhi sulemaan kar diya

jeenay se isqadar bhi lagao na tha mujhe
tu ne to zindagi ko meri jaan kar diya

qurbat ke pal wo itna sakhi tha ke usne to
poora tamaam umar ka nuqsan kar diya

na aashnaye lutf-e-tasaadam ko kia khabar
mein ne hawa ki zad pe rakha jaan kar diya

itne sukoo'n ke din kabhi dekhe na thay faraz
aasoodgi ne mujh ko pareshaan kar diya
"ahmad faraz poetry"
ahmed faraz urdu shayari
Urdu poetry by ahmed faraz

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

kachi umar ke khwab