mein zakham zakham hoon

Karoon na yaad magar kis tarah bhulaon usey
ghazal baha na karoon, aur gungunaon usey

wo khar khar hai, shakh-e-gulab ki manind mein
zakham zakham hoon phir bhi gallay lago'n usey

ye log tazkare karte hain apne logo'n ke
mein kese baat karu'n ab kahan se lao'n usey

magar wo zood-e-faramosh zood-e-ranj bhi hai
ke rooth jaye agar yaad kuchh dilao'n usey

o humsafar sar-e-manzil bichar raha hai faraz
ajab nahi hai agar yaad bhi na aao'n usey
"ahmad faraz poetry in urdu"
ahmad faraz Urdu Poetry
                                    Ahmad faraz urdu shayari

Comments

Popular posts from this blog

kachi umar ke khwab