Safar Tanha Nahi Karte

Safar Tanha Nahi Karte'
Suno Aisa Nahi Karte

Jise Shafaaf Rakhna Ho
Usey Mela Nahi Karte

Bohat Ujre Howe Ghar Par
Bohat Socha Nahi Karte

Safar Jiska Muqadar Ho
Usey Roka Nahi Karte

Jo Mil Kar Khud Se Kho Jae
Usey Ruswa Nahi Karte

Teri Aankhen Ijazat Dein
To Ham Kya Kya Nahi Karte

Chalo Tum Raaz Ho Apna
Tumhein Afsha Nahi Karte

Jo Dhun Ho Kar Guzarne Ki
To Phir Socha Nahi Karte

Kabhi Hansne Se Darte Hain
Kabhi Roya Nahi Karte

Teri Aankhon Ko Parhte Hain
Tujhe Dekha Nahi Karte

Ye Onchey Pair Kese Hain
Kahein Saya Nahi Karte

Sahar Se Pooch Lo "Mohsin"
Ke Hum Soya Nahi Karte
"Mohsin Naqvi Urdu Poetry"
Mohsin naqvi urdu poetry
mohsin naqvi best urdu poetry

Comments

Popular posts from this blog

kachi umar ke khwab