Udasion Ka Sabab Jo Likhna

Udasion ka sabab jo likhna"
to ye bhi likhna
ke chand taaray,
shahaab ankhien badal gaye hain
wo zinda lamhay jo teri rahon mein tere anay kay muntazir thay
wo thak kay raahon mien dhel gaye hain
wo teri yaadien, khayal tere, wo ranj tere, milaal tere
wo teri ankhein, sawal tere
wo tum say mere tamam rishtay bichar gaye hain, ujadh gaye hian
udasion ka sabab jo likna to ye bhi likhna
leraztay hoonton pe larhkharhti, dua ke soraj
peghal gaye hain
tamaam sapnay he jal gaye hain
"Farhat abbas shah Urdu Poetry"
farhat abbas shah poetry in urdu
Farhat abbas shah Urdu Poetry

Comments

Popular posts from this blog

kachi umar ke khwab