Un Jheel Si Gehri Aankhon Mein

Un jheel si gehri aankhon mein
ik shaam kahin aabaad to ho
ik khwab ka neela phool khile
wo phool bahaden lehron mein
ik roz kabhi hum shaam dhalle
us phool ke behte rangon mein
jis waqt larazta chand chale !
us waqt kahin un aankhon mein is bisre pal ki yaad to ho !
Un jheel si gehri aankhon mein ik shaam kahin aabaad to ho !
phir chaahe umar samandar ki
har moj pareshan ho jaye
phir chahe aankh dareeche se
har khwab gurezaan ho jaye
phir chahe phool ke chehre ka
har dard numayaan ho jaye !
is jheel kinare pal do pal wo roop nagar aejaad to ho
din raat ke is aaieenay se wo aks kabhi azaad to ho
Un jheel si gehri aankhon mein ik shaam kahin aabaad to ho ..!!
"Amjad islam amjad urdu poem"
amjad islam amjad urdu poem
amjad islam amjad shayari

Comments

Popular posts from this blog

kachi umar ke khwab