Dukh Dard Ke Maron Se Mera Zikar Na Karna

'Dukh dard k maron se mera zikar na karna'
Ghar jao to yaron se mera zikar na karna

Wo zabat na kar paen gi ankhon k samandar
Tum raah guzaron se mera zikar na karna

Pholon k nasheman me raha hon me sada se
Daiko kabhi kharon se mera zikar na karna

Shaid ye andhaire hi mujhe raah dikhaen
Abb chand sitaron se mera zikar na karna

Wo meri kahani ko ghalat rang na de dain
Afsana nigaron semera zikar na karna

Shaid wo mere haal pe be- sakhata roo dain
Iss bar baharon se mera zikar na karna

Le jaen ge gehrai me tum ko bhi baha kar
Darya k kinaron se mera zikar na karna

Wo shakhs mile to use har bat batana
Tum sirf isharon se mera zikar na karna
"Wasi Shah Poetry"
wasi shah-Urdu Poetry-Urdu Shayri-Urdu Ghazal-Urdu Poem
Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

Comments

Popular posts from this blog

Wo Aksar Mujhse Kehti Thi