Hum se mat pooch rastay ghar ke

Hum se mat pooch rastay ghar k'
hum musafer hain zindagi bhar ke

kon suraj ki aankh se din bhar
zakham ginta hai shab ki chadar ke

sulah kar li ye soch kar main ne
mere dushman na they baraber ke

kudh se khemay jala diye main ne
hoslay diekhna they lashker ke

yeh sitaray yeh tottay motti!
aqs hain mere didahay tar ke

gar junoo muslehat na aapnaye
sar se rishtay bohat hain pathar k

hum bhi chuntay the sipiyan akser
hum bhi maqrooz hain samander ke

aankh ke gird matami halqay
saye jaise jalae huwe ghar ke

doston ki zuban tu khulnay do
bhool jao ge zakham khanjer ke

chand bhi zard peR gaya aakhir
ujRay aangan mein roshni kar ke

aankh nam bhi karo to bas itni
rang pheekay parain na manzer ke.
"Mohsin Naqvi Urdu Poetry"
Mohsin naqvi poetry in urdu
Urdu Poetry Mohsin naqvi

Comments

Popular posts from this blog

Wo Aksar Mujhse Kehti Thi