Niyat-e-shauq bhar ne jaye kahin
Niyat-e-shauq bhar na jaye kahin'
Tu bhi dil se utar na jaye kahin
Aj dekha hai tujhe der ke bad
Aj ka din guzar na jaye kahin
Na mila kar udas logon se
Husn tera bikhar na jaye kahin
Arazu hai ke tu yahan aye
Aur phir umr bhar na jaye kahin
Ji jalata hu aur sochta hu
Raegan ye hunar na jaye kahin
Aao kuch der ro hi len "Nasir"
Phir ye darya utar na jaye kahin
"Nasir Kazmi Urdu Poetry"
Tu bhi dil se utar na jaye kahin
Aj dekha hai tujhe der ke bad
Aj ka din guzar na jaye kahin
Na mila kar udas logon se
Husn tera bikhar na jaye kahin
Arazu hai ke tu yahan aye
Aur phir umr bhar na jaye kahin
Ji jalata hu aur sochta hu
Raegan ye hunar na jaye kahin
Aao kuch der ro hi len "Nasir"
Phir ye darya utar na jaye kahin
"Nasir Kazmi Urdu Poetry"
![]() |
Nasir kazmi poetry in urdu |
Comments
Post a Comment