Teri yadon k sitare nikle

Shaam aayi teri yaadon ke sitare nikle
Rang hi gam ke nahi naqsh bhi pyare nikle

Ek Moh-Ham Tamanna Kay Saharey Nikle
Chand Kay Saath Tere Hijr Ke Mare Nikle

Koi Mousam Ho Magar Shan-E-Kham Wohi
Raat Ki Tarha Koi Zulf Sanwarey Nikle

Raqs jinka humein saahil se baha laaya tha
Wo bhanwar aankh tak aaye to kinare nikle

Wo to jaan le ke bhi waisa hi sabuk-naam raha,
Ishq ke baab mein sab jurm hamare nikle

Ishq dariya hai jo taire wo tahe-dast rahe
Wo jo doobe the.. kisi aur kinare nikle

Dhoop ki rutt mein koi chhaon ugaata kaise,
Shakh phooti thi ki hamsayon mein Aare nikle
"Parveen Shakir Poetry"
best poetry of Parveen Shakir
Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

Comments

Popular posts from this blog

Wo Aksar Mujhse Kehti Thi