Main dil pe jabar karoonga
Main dil pe jabar karun ga' tujhe bhula dun ga,
marrun ga khud bhi tujhe bhi karri saza dunga
yeh tergi mere ghar ka hi kyun muqaddar ho,
main tere shehr ke saare diye bhuja dun ga
hawa ka hath bataon ga har tabahi main,
haray shajar se parinday main khud urra dun ga
waffa karun ga kisi sogwaar chehre se,
purani qabar pe katbah naya saja dun ga
issi khayal mein guzri hai shaam-e-gham aksar,
ke dard hadh se barrhe ga to muskura dun ga
Tu Aasman ki surat hai gir paRey ga kabhi
Zameen hu mein bhi magar tujh ko Aasra du ga
barrha rahi hain mere dukh, nishaniyan teri,
main tere khat, teri tasveer tak jala dun ga
bohat dino se mera dil udaas hai ‘Mohsin’
iss aaiine ko koi aks ab naya dunga
"Mohsin Naqvi Urdu Poetry"

![]() |
sad poetry of Mohsin naqvi |
Comments
Post a Comment