Zara si der mein hum kaise kholte usko
Zara Si Der Mein Hum'Kaise Kholte UsKo,
Tamam Umar Lagi Jhoot Bolte UsKo,
Jise Kasheed Kia Tha Khumar-e-Khusbo Se,
Misal-e-rang hawaon mei gholte usko
Wo Khawab Mein Hi Utarta Shoaa-E-Subha K Sath,
Hum Apne Aap Hi Palkon Pe Tolte Us Ko,
Wo Ashk Tha Usay Aankhon Mein Dafan Hona Tha,
Guhr Na Tha Ke Sitaron Mein Rolte Us Ko,
Wo Bewafa Tha To Iqraar Lazmi Karta,
Kuch Aur Der Meri Jaan Tatolte Us Ko,
Kisi Ki Aankh Se Mohsin Zarur Peeta Hai,
Tamam Shehr Ne Dekha Hai Dolte Us Ko
"Mohsin Naqvi Urdu Poetry"

![]() |
Mohsin naqvi urdu poetry in urdu |
in hindi
ReplyDelete