Zikr-e-Shab e Firaq Se Wehshat Usay Bhi Thi

Zikr-E-Shab-E-Firaq Se Wehshat Usay Bhi Thi,
Meri Tarha Kisi Se Mohabbat Usay Bhi Thi,

Mujh Ko Bhi Shoq Tha Naye Chehron K Deed Ka,
Rasta Badal K Chalne Ki Aadat Usay Bhi Thi,

kal Rat Dair Tak Wo Raha Mehv-e-Guftagoo,
Masruf Main Bhi Kam Tha Faraghat Usay Bhi Thi,

Sunta Tha Wo Bhi SabSe Purani Kahania,
Taza Rafaqaton Ki Zaroorat Usay Bhi Thi,

Mujh Se Bichar K Shehr Mein Ghul Mil Gia,Wo Shakhs
HalanKe Sheher Bhar Se Raqabat Usay Bhi Thi,

Wo Mujh Se BaRh Ke Zabt Ka Aadi Tha, Ji Gaya
Warna Har Ek Saans Qayamat Usay bhi Thi,
"Mohsin Naqvi Poetry"
Mohsin naqvi sad urdu poetry
Mohsin naqvi sad urdu poetry

Comments

Popular posts from this blog

Wo Aksar Mujhse Kehti Thi