Chirag e Rah Bujha Kar Ke

Chirag-e-rah bujha kar ke rahnuma bhi gaya
hawa ke saath, musafir ka naqshe pa bhi gaya

main phool chunti rahi, aur mujhe khabar na hui
wo shakhs aake mere sheher se chala bhi gaya

bohat azeez sahi usko meri dildari
magar ye hai ke kabhi dil mera dukha bhi gaya

ab ud dareecho'n par gehray dubez parday hain
wo taank jhaank ka masoom silsila bhi gaya

sab aaye meri ayyadat ko wo bhi aaya tha
jo sab gaye to mera dard-e-aashna bhi gaya

ye gurbaten meri aankho'n mein kesi utri hain
ke khwab bhi mere rukhsat hai ratjaga bhi gaya
"Parveen shakir"
Parveen Shakir Urdu Poetry
Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

Comments

Popular posts from this blog

kachi umar ke khwab