Guzar Gaya Jo Zamana Usay Bhula Hi Do

Guzar gaya jo zamana usay bhula hi do'
jo naqsh ban nahi sakta usay mita hi do

khule ga terk-e-taalluq ke baad baab-e-fana
yeh ek aakhri parda bhi ab utha hi do

ruki ruki si hawa hai thaka thaka hai chand
wafa ke dusht main hairan khare hain raahi do

guzar raha hai jo lamha usay ammar kar len
main apne khoon se likhta hoon tum gawahi do

kisi tarah se taghafful ka baab-e-shaq to khule
nahi main piyar ke qabil to kuch saza hi do

mein kaeynaat ko tum se nijaat de du'n ga
meri giraft mein ik din agar tabahi do
"Amjad islam amjad poetry"
amjad islam amjad Urdu Poetry
amjad islam amjad shayari

Comments

Popular posts from this blog

kachi umar ke khwab