Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aankh Main

Kabhi yun bhi Aa meri aankh main'k meri nazar ko khabar na ho
Mujhe ek raat nawaz de magar uske baad sahar na ho

who bara raheem-o-kareem hai mujhe ye siffat bhi atta kare
tujhe bhoolne ki dua karo'n to meri dua main asar na ho

mere baazoun main thaki thaki abhi mehwe khwab hai chandni
na uthay sitaro'n ki palki abhi aahato'n ka guzar na ho

ye ghazal ke jese hiran ki aankh main pichli raat ki chandni
na bhuje chirago'n ki roshni kabhi be-chiragh ye ghar na ho

kabhi din ki dhoop ko jhoom ke kabhi shab ke phool ko choom  ke
you'nhi saath saath chalen sada kabhi khatam apna safar na ho
"Bashir badr poetry in urdu"
Bashir badr urdu poetry
Bashir badr Poetry in Urdu

Comments

Popular posts from this blog

kachi umar ke khwab