Baad Muddat Usse Dekha Logo

Baad muddat usse dekha logo
wo zarra bhi nahi badla  logo

khush na tha mujh se bicharr ker who bhi
us ke chehrey pe likha tha logo

uski aankhen bhi kahe deti thien
raat bhar wo bhi na soya logo

ajnabi ban ke jo guzra hai abhi
tha kisi waqt mein apna logo

dost to kher koi kis ka tha,
usne dushman bhi na samjha logo

raat wo dard mere dil mein utha
subah tak chen na aaya logo

pyaas daryao'n ki phir tez hui
abar phir toot ke barsa logo
"Parveen shakir"
Parveen Shakir poetry in urdu
Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

Comments

Popular posts from this blog

kachi umar ke khwab