Sochta Hun Ke Usay Neend Bhi Aati Hogi

'Sochta hun ke usay neend bhi aati hogi'
ya meri tarah faqat ashq bahati hogi

wo meri shakl mera naam bhulane wali
apni tasveer se kya aankh milati hogi

is zamee'n par bhi hai selab mere ashko'n se
mere matam ki sada arash hilati hogi

shaam hote hi wo chokhat pe jala kar sham
apni palko'n pe kai khwab sajati hogi

hoti ho gi mere bose ki talab mein pagal
jab bhi zulfo'n mein koi phool sajati hogi

mere tareek zamano'n se nikalne wale
roshni tujhe ko meri yaad dilati hogi

dil ki masoom ragen khud hi sulagti hongi
ju'nhi tasveer ka kona wo jalati hogi

roop de kar mujhe us mein kisi shehzade ka
apne bacho'n ko kahani wo sunati hogi
"Wasi shah poetry"
wasi shah-Urdu Poetry-Urdu Shayri-Urdu Ghazal-Urdu Poem
Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

Comments

Popular posts from this blog

kachi umar ke khwab