Harfe taaza naii khushboo mein

Harfe taaza naii khushboo mein likha chaahta hai
baab ik aur mohabbat ka, khula chaahta hai

ek lamhay ki tawajo nahi hasil uski
aur ye dil k ussay had se sawa chahta hai

ik hijaab-e-tahay iqrar hai manay warna
gul ko maloom hai kya daste saba chahta hai

ret hi ret hai is dil mein musafir mere
aur ye sehra tera naqsh-e-kafe pa chahta hai

yahi khamoshi kai rung mein zahir ho gi
aurr kuchh roz ke wo shokh khula chahta hai

raat ko maan liya dil ne muqadar lekin
raat ke haath pe ab koi diya chahta hai

tere pemane mein gardish nahi baaqi saaqi
aur teri bazm se ab koi utha chahta hai
"Parveen shakir poetry"
Parveen Shakir Urdu Poetry
Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

Comments

Popular posts from this blog

kachi umar ke khwab