Aankh se door na ho

Aankh se door na ho' dil se utar jaye ga
waqt ka kya hai guzarta hai guzar jaye ga

itna maanos na ho khilwat-e-gham se apni
tu kabhi khud ko bhi dekhe ga to dar jaye ga

tum sare rahe wafa dekhte reh jao ge
aur wo baam-e- rifaqat se utar jaye ga

zindagi teri atta hai to ye jane wala
teri bakhshish teri dehleez pe dhar jaye ga

doobte doobte kashti ko uchala de du'n
mein nahi koi to sahil pe utar jaye ga

zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka faraz
zalim ab ke bhi na roya to mar jaye ga
"Ahmad faraz poetry"
Ahmad faraz poetry in urdu
ahmad faraz shayari

Comments

Popular posts from this blog

kachi umar ke khwab