Bharkain meri pyaas ko

Bharkain meri pyaas ko' aksar teri aankhein,
Sehra mera chehra hai, Samandar teri aankhein,

phir kon bhala dade tabasum anhen de ga,
royegi bohat mujh se bichar kar teri aankhen,

bojhal nazar aati hai bazahir mujhe lekin,
khilti hai bohat dil mein utar kar teri aankhen,

ab tak meri yaado'n se mitaye nahi mit'ta,
bheegi hui ik shaam ka manzar teri aankhen,

mumkin ho to ik taaza ghazal aur bhi keh lu'n
phir orh na len khwab ki chadar teri aankhen,

yu'n dekhte rehna usse acha nahi mohsin,
wo kanch ka pekar hain to pathar teri aankhen,
"Mohsin naqvi poetry"
Mohsin naqvi poetry in urdu
Mohsin naqvi urdu poetry

Comments

Popular posts from this blog

kachi umar ke khwab