Kitne Ajeeb Log Hain

Hum aehl-e-aetabar, kitne badnaseeb log hain'
jo raat jagne ki thi, who sari raat
khwab dekh dekh kar,guzarte rahe
jo naam bhoolne ka tha
us ek naam ko gali gali pukarte rahe
jo khel jeetne ka tha usko haarte rahe
ajeeb log hain
hum aehl-e-aetabar, kitne badnaseeb log hain
kisi se bhi qarz-e-aabroo ada na hua
lahoo lahaan saa'aton ka faisla na hua
baras guzar gaye koi mojaza na hua
wo jal bhuja ke aag jis ke sholaey nafs mein thi
wo teer kha gaya, kaman jis ke dastaras mein thi
sipahe sar ko faseel-e-shab ka intazar hai
kab aye ga wo shakhs jis ka sab ko intazar hai
hum aehle nazar kitne bad naseeb log hain
ajeeb log hain
hum aehl-e-aetabar, kitne badnaseeb log hain
"Ifthikhar arif"
Ifthikhar arif urdu poetry
Ifthikhar arif shayari in urdu

Comments

Popular posts from this blog

kachi umar ke khwab